Is Zindagi Ka...

iss zindagi ka aik naya roop dikha diya ooski mohabbat ne...
hum thay kya aur ab hain kaun sab bhula diya ooski mohabbat ne...
jo bass ek hawa ke jhonkay ke saath he gir jaye wo...
tash k paton ka mahal mujhe bana diya ooski mohabbat ne...
aanso'on mein bhi hansna sikha diya ooski mohabbat ne...
bina aag ya kisi sholay k mujhe jala diya ooski mohabbat ne...
wo sapnay wo umeedein wo intizar kabhi thay ya na thay...
udaas thay tho sahi pehle bhi per ab rula diya ooski mohabbat ne..

0 comments: