Teri Zud Se

Teri Zud Se Nikalna Chahta Hai,
Ye Dariya Rukh Badalna Chahta Hai,

Wo Sapna Jiski Surat Hi Nahi Hai,
Meri Aankhon Mein Chalna Chahta Hai,

Dilon Ki Mandagi Pe Kya Ta'ajub,
Ke Suraj Bhi To Dhalna Chahta Hai,

Nashist-E-Dard Badli Hai To Ab Dil,
Zara Pehloo Badalna Chahta Hai,

Mujhe Bhi Samna Hai Karbala Ka,
Mera Sar Bhi Uchhalna Chahta Hai,

Nahi Hai Tarjumaan-E-Gam Ye Aansu,
Ye Paani Ab Ubalna Chahta Hai,

Tabassum Zar-E-Lab Kehta Hai,
Koi Jazba Machalna Chahta Hai...

Khuda jaanay

dil ko kya ho gaya khuda jaane
kyoon hai aisa udaas kya jaane

keh diya maiNe haal-e-dil apnaa
isko tum jaano ya khuda jaane

jaante-jaante hi jaanega
muJhme kya hai abhi wo kya jaane

tum na paaOge sada-dil muJhsa
jo tagaful ko bhi hayaa jaane

Bhool Jaa

mat shab-e-gham mein uski tamana jala, ay dil-e-muztarib tu ussay bhool ja
khali aankhoon ko na ratjagoon se saja ,ay dil-e-muztarib tu ussay bhool ja

meri shamien udassi mein dhalti rahien,na'umeedi liya mera din hoo shroo
kab talak zeest mujh per hansay gi bata,ay dil-e-muztarib tu ussay bhool ja

lams utra tha uss ka rag-o-jan mein,tha kabhi wo hamaray meherban mein
ab nahin hey mager thi jo uss ki ata,ay dil-e-muztarib tu ussay bhool ja

hijr ki sakhtiyan mein sahoon kis liya,uss nay dekha nahin mur k ek baar bhi
maan lo k hamara nahin wo raha,ay dil-e-muztarib tu ussay bhool ja

yaad k dairoon ka safer ab nahin,chahiye bewafa' koi manzil nai...........
herf-e-aakhir nahin wo meri zaat ka,ay dil-e-muztarib tu ussay bhool ja