Showing posts with label Yaadain. Show all posts
Showing posts with label Yaadain. Show all posts

Bhool Jaa

mat shab-e-gham mein uski tamana jala, ay dil-e-muztarib tu ussay bhool ja
khali aankhoon ko na ratjagoon se saja ,ay dil-e-muztarib tu ussay bhool ja

meri shamien udassi mein dhalti rahien,na'umeedi liya mera din hoo shroo
kab talak zeest mujh per hansay gi bata,ay dil-e-muztarib tu ussay bhool ja

lams utra tha uss ka rag-o-jan mein,tha kabhi wo hamaray meherban mein
ab nahin hey mager thi jo uss ki ata,ay dil-e-muztarib tu ussay bhool ja

hijr ki sakhtiyan mein sahoon kis liya,uss nay dekha nahin mur k ek baar bhi
maan lo k hamara nahin wo raha,ay dil-e-muztarib tu ussay bhool ja

yaad k dairoon ka safer ab nahin,chahiye bewafa' koi manzil nai...........
herf-e-aakhir nahin wo meri zaat ka,ay dil-e-muztarib tu ussay bhool ja

Jub Raat Gaye Tairy Yaad Ayi


Kuch Kahti Hai

Gali Gali Mairi Yaad

Mujh Sey Bichar Gaye


Jo khayal they na qayas they wohi log mujh sey bichar gaye
jo mohabbaton ki asaas they wohi log mujh sey bichar gaye

Jinhain maanta hi nahi ye dil wohi log merey hain hamsafar
mujhey har terha sey jo raas they wohi log mujh sey bichar gaye

Mujhey lamha bhar ki rifaqaton key saraab bohat satayen gey
meri umr bher ki jo pyaas they wohi log mujh sey bichar gaye

Ye jaal sarey hain aarzi ye gulaab sarey hain kaghzi
gul-e-arzoo ki jo baas they wohi log mujh sey bichar gaye

Jinhain ker saka na kabool mai wohi shareek-e-raah safer huey
jo meri talab meri aass they wohi log mujh sey bichar gaye

Meri dharkanon key kareeb they meri chah they mera khuaab they
wo jo roz-o-shab merey pass they wohi log mujh sey bichar gaye

Na Zikr Karo...


na zikar karo oss ka na baat kissi gair ki ho
khamoshiyan hi rehney do iss baar mera dil toota hai

hai kisey chah roshni ki ye shama kiss ne jalayi hai
tarikyun ko chaney do iss baar mera dil toota hai

ik umeed dil mein basayi thi ab baki nhin hai kuch bi
tanha zeest guzarney doh iss baar mera dil toota hai

apnoon ne humein thukraya hai gair bhala apnaye kyun
mat poocho mujh se haal mera iss baar mera dil toota hai

kyun mangu kissi se mein panah kyun jaoon kissi ki chokhat pe
aye rab tujhi se hai gila ke iss baar mera dil toota hai

asaar mere samje n mere gham ki had jani
nhin talab baki koi mehfil ki iss baar mera dil toota hai

na urao meri yun hansi na dekho aesi nazroon se
mein sach kehta hoon tum se iss baar mera dil toota hai

piya nhin jata hai mujh se ayaam ki iss talkhi ko
lehad mein mujhe ab so janey doh iss baar mera dil toota hai

dil ke har ik tukrey se yehi ik sada bas ati ahi
rakh doh kalam ko ye keh ke iss baar mera dil toota hai

Main Shaam Yaadon..


Main shaam yadoon kay jangalooN main guzarta hooN k kuch likhooN ga
Yeh sheher sara hee so chukka hai main jagta hooN k kuch likhooN ga

Main pichlay mausam kee baarishooN ko phir apni aankhooN main la raha hooN
K ab kay sawan ke rutt main, main bhee yeh sochta hoon k kuch likhooN ga

Woh saaray rastay kay jin pe hum ne muhabatooN ke safar kiya thay
Main ab jo un per kabhi gaya tu yeh janta hooN k kuch likhooN ga

Bahar rut k woh khawaab saray jo mairi palkooN pe aa sajjay thay
Woh khawaab aankhooN main jal chukkay hain main jal raha hooN k kuch likhooN ga

Main lafz palkooN se xhun raha hooN, main khawaab kaghaz pe bun raha hooN
Main tairi aahat bhee sun raha hoon, main janta hoon k kuch likhooN ga

Ajeeb rutt hai judaiooN kee udaas din hain udaas raatain !!!!
Main chan muhmil se lafz likh ker yeh sochta hoon k kuch likhooN ga

Wafa Ke Waday..

Wafa k waaday wo saare bhula gaya chup chaap
Wo mere dil ki dewaren hila gay chup chaap

Ghuem hayat k tabtay hue bayaban main
Humen chor k wo tanha chala gaya chup chaap

Na jane kon saw o badnaseeb lamha tha
Jo ghum ki aag mian mujh ko jala gaya chup chaap

Main jis ko chohta hon wo zakham deta hai
Wo phol aise chaman main khila gaya chup chaap

Woh Kesa Shaks..


Woh kaisa shaks hai k har rooz saza deta hai
Phir hansta hai woh itna k sab bhula deta hai,

Kabhi jo ro de to mujhe bhi bhool jata hai
aur phir bhool k mujh ko bhi rula deta hai,

Hamarae paas na aane ki kasam kha kar woh
"AAJA" Likhta hai woh, kaghaz pey urra deta hai,

Usse poocho k bata kis se muhabbat hai tumhein
naam sargoshi main Mera hi suna deta hai,

Kabhi kehta hai chalo saath hamesha mere
chal paroon saath to raasta hi phira deta hai,

Khud hi kehta hai na dohraao purani yaadein
mein na dohraaoon to phir khud hi sunaa deta hai...

Main Aisi Muhabbat...

Mairey Gham Kadey Mein..


Mairey Gham Kadey Mein Ronak Hai Bohat
Bohat Baithey Hain Mairey Chaahney Waaley

Dard Ki Shaam Hai Mojood Yahan
Udasiyon Ke Kayi Mosam Baithey Hain
Ikk Bheegi Huyi Raat Bhi Aayi Hai Idhar
Ikk Mayoos Subha Bhi
Chand Saa'atein Dukh Ke Nagar Say Mahmaan
Maira Wajood Unn Ka Maizbaan
Mairey Gham Kadey Mein Ronak Hai Bohat

Aahein Ashk To Yaas Kahin Hai
Umeed Ki Kiran To Koi Aas Kahin Hai
Koi Dil Garifta Idhar Koi Udaas Kahin Hai
Kuch Rang Hain Hijr-o-Firaak Ke
Kuch Phool Bhi Judaai Ke Khiley Hain
Bohat Say Hain Mairey Chaahney Waaley
Itney Tohfey Jo Ikatha Yahan Miley Hain

Sach.......!!!
Mairey Gham Kadey Mein Ronak Hai Bohat
Bohat Baithey Hain Mairey Chaahney Waaley

Shayad...


Haal-e-Dil Woh Kabhi Kisi Ko Na Kehti Ho Gi
Par Bina Mairey Bohat Mushkil Say Rehti Ho Gi

Kabhi Din Ke Kisi Udaas Pal Mein Woh
Mairi Shararton Ko Soch Ke Hansti Ho Gi

Be-sabab Udaasi Ka Sabab Jab Koi Na Poochta Ho Ga
Mairey Israar Ko Kar Ke Yaad Woh Bhi Roti Ho Gi

Mairi Nazar Uss Ke Chehrey Pey Jeeti Ho Gi
Mairi Zaat Uss Ki Aankhon Mein Terti Ho Gi

Main Kar Raha Hoon Sirf Uss Ke Iqrqar Ka Intezaar
Jaaney Woh Mairi Ye Baat Bhi Samjhi Ho Gi

Issi Aas Pay Jee Raha Hoon Main Abb Tak
Shayad Woh Khaab Mairey Bhi Yoon Hi Daikhti Ho Gi

Koi....


Aag Jo Dil Mein Lagi Hai Mairey Wajood Mein Laga Dey Koi
Main Kab Say Sulag Raha Hoon Mujhey Aa Ke Jala Dey Koi

Jahan Main Aur Mairi Tanhai Apas Mein Khoob Ro Lein
Aisi Koi Jagah Mujhey Dikha Dey Koi

Woh Jo Rehta Hai Mairey Dil Mein Ban Ke Yaad Pal Pal
Uss Shaks Ko Mairi Aankhon Sey Chalka Dey Koi

Main Kab Sey Be-gor-o-Kafan Parra Hoon Zindagi Ke Sehra mein
Mujhey Wafa Ke Mazaar Pay Jaa Ke Dafna Dey Koi

Woh Jiss Ki Khushi Kabhi Mujhey Bohat Azeez Thi
Mairey Aansoo-on Ka Haal Ussey Bhi Suna Dey Koi

Main Uss Shaks Ka Hoon Jo Maira Ho Nahin Sakta
Ye Baat Mairey Dil Ko Bhi Samjha Dey Koi

Jiss Ke Dam Sey Roshni Thi Mehfilon Mein Woh "Majrooh'
Kho Raha Hai Andhairon Mein Ussey Bacha Ley Koi ...!

Ek Choti Si Kahani Hai...


Ekk Chotti Si Kahaani Hai
Ekk Ba-maani Sa Qissa Hai
Kisi Ke Liye Kuch Na Sahi
Mairi Saanson Ka Woh Hissa Hai

Kisi Ke Sandais Ka Intezaar
Kisi Ke Chehrey Ki Jhalak
Kisi Ke Qadmon Ki Chaap
Kisi Ke Dil Ki Tarrap

Saath Nibhaaney Ka Wada Na Sahi
Saath Chalney Ka Azm To Tha
Mohabbat Chaaht Ishq Na Sahi
Tanhaai Mein Rafeeq-e-Bazm To Tha

Woh Mosamon Ki Baatein Woh Daison Ke Qissey
Kitaab-e-Dil Mein Karna Kabhi Dostiyon Ka Hisaab
Ghanto Baithey Baithey Ussey Hi Sochna
Ho Shair Kehna Ussi Ke Intesaab

Kabhi Zid Say Apni Har Baat Manwana
Kabhi Jaantey Boojhtey Uss Say Haar Jaana
Kabhi Uss Ka Kuch Kehtey Kehtey Ruk Jaana
Kabhi Uss Ke Israar Pay Maira Sab Keh Jaana

Woh Maira Haseen Koi Sapna Tha
Ya Hawa Si Koi Chali Thi
Aaj Uss Saahil Per Main Tanha Hoon
Mairey Haathon Jahan Mairi Kashti Jali Thi

Mujhey Maaloon Tha Woh Maira Nahin
Magar Woh To Mujhey Apna Maanta Tha
Kudh Say Door Karney Ke Aur Bhi Rastey Thay
Izaton Ke Sodey Achey Nahin Ye Woh Bhi Jaanta Tha

Main To Sirf Mohabbat Karna Jaanta Tha
Kyun Mujhey Andar Say Yoon Torra Tha
Kyun Mujhey Kudh Say Door Kiya Tum Ne
Main To Tumharey Dil Ka Ekk Tukrra Tha !!!

Meri Piya Bujha Gaya...


Woh Mairi Piyaas Bujha Gaya, Par Woh Tishnagi Ko Barrha Gaya
Mairey Dard-e-Dil Ko Ubhaar Kar Mairi Wehshaton Ko Jaga Gaya

Kaha Kis Qadar Sakoon Say Tujhey Chorr Jaoon Ga Aik Din
Ussey Kya Khabar Ke Woh Iss Tarah Mairi Dharrkanon Ko Hila Gaya

Mairey Dil Ke Taaron Ko Chairr Kar, Fiza Mein Uss Ko Bikhair Kar
Kisi Naghma-e-Bahar Say Mairi Zindagi Ko Saja Gaya

Woh Jo Dil Say Apney Qareeb Tha, Humein Jaan Say Barrh Ke Azeez Tha
Sabhi Pur-khaloos Duayein Theen Jinhein Chuttkiyon Mein Urra Gaya

Nahin Janta Hai Ye Chaaragar, Ye Dilon Ke Sodey Hain Be-khabar
Jissey Thorri Thais Bhi Lag Gayi Woh Mata-e-Dil Ko Loot-ta Gaya

Woh Hameen Thay Jin Say Theen Ronaqein Kabhi Mehfilon Ki Arooj Pay
Ye Hameen Hain Jin Ko Lagey Hai Yoon Koi Saanp Jaisey Sungha Gaya

Is Bazm Main Rehna...


Iss Bazm Mein Rehna Hai To Jalney Ki Adaa Seekh
Jeena Hai Agar Tujh Ko Marney Ki Adaa Seekh

Kab Tak Yoon Chaley Ga To Saharon Pay Kisi Ke
Girta Hai, To Khud Gir Ke Sanbhalney Ki Adaa Seekh

Manzil Terey Pairon Mein Hai Chal Kar To Zara Daikh
Khud Apney Say Baahir To Nikalney Ki Adaa Seekh

Hain Chaand Sitaaron Pay Nigaahein Teri Lekin
Zaron Ko Zara Pehley Parakhney Ki Adaa Seekh ...!

Main Roi Tu Nahin Hoon...


Najaney Kiyoon Mera Kajal
Jab Bhi Dalo Ankhon Main
Ab Akser Phail Jata Hai
Main Roi To Nahin Hoon......

Tum To Jantey Ho In Dino
Bohat Hi Thand Hoti Hai
Tab Hi Hai Surkh Meri Naak
Main Roi To Nahin Hoon......

Kaha To Hai Yunhi Buss
Bheega Hai Aanchal Ka Kona
Choro Tum Fiker Mat Karo
Main Roi To Nahin Hoon......

Nahin, Udaas Kab Hoon Main
Ziyada Kaam Kay Baies
Thakawat Ho Hi Jati Hai
Main Roi To Nahin Hoon......

Eid Aai Hai, Woh Ab Bhi
Nahin Aata To Na Aaye
Ab Us Ki Yaad Main Dekho
Main Roi To Nahin Hoon.....

Bata Dena Us Ko Ja Ker
Koi Khush-Fehmi Na Palley
Waisey Hi Surkh Hain Ankhin
Main Roi To Nahin Hoon....

Yaad Aaonga...


Tum meri aankh ke taywar na bhula paogay
An kahi baat ko samjhogay tu yaad aonga,

Hum ne khushyon ki tarah dukh bhi ikhattay dekhay
Safha-e-zeest ko palto gay tu yaad aaonga,

Is judai main tum andar se bikhar jaogay
Kisi ma'zoor ko dekho gay tu yaad aaonga,

Isi andaaz main hotay thay mujh se mukhatib
Khat kisi aur ko likhogay tu yaad aaonga,

Meri khushboo tumhain kholaygi gulabon ki tarah
Tum agar khud na bolo gay tu yaad aaonga,

Sard raaton ke mahaktay howe sannatoon main
Jab kisi phool ko chomogay tu yaad aaonga,

Aaj tu mehfoil-e-yaaran pe ho maghroor bahut
Jab kabhi toot ke bikhro gay tu yaad aaonga,

Ab tu ye ashk main honton se chura leta hoon
Haath se khud inhain ponchogay tu yaad aaonga,

Shawl pehnayga ab koun tumhain December main
Barishon main kabhi bheego gay tu yaad aaonga,

Haadsay aaengay jeevan main tu tum ho ke nidhaal
Kisi deewar ko thaamo gay tu yaad aaonga,

Is main shamil hai meray bakht ki taareeki bhi
Tum siyah rung jo pehno gay tu yaad aaonga....

Phir Kisi Ki Yaad...


Phir Kisi Yad Nay Shab Bhar Hay Jagaya Mujh Ko
Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko

Din Ko Aaram Hay Na Rat Ko Hay Chain Kabhi
Janay Kis Khaak Say Qudrat Nay Banaya Mujh Ko

Dukh To Yeh Hay Keh Zamanay Main Milay Ghair sabhi
Jo Mila Hay Woh Mila Ban K Paraya Mujh Ko

Jab Koi Bhi Na Raha Kaandha Meray Roonay Ko
Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko

Yoon To Umeed-e-Wafa Tum Say Nahin Hay Koi
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko

Bewafa Zindagi Nay Jab Chorh Diya Hay Tanha
Maut Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko

Mein Woh Diya Hon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi
Gham Ki Aandhi Nay Sar-e-Sham Bujhaya Mujh Ko

Kaisay Bholon Ga Wohi Visl K Lamhay
Yad Aata Raha Zulfon Ka Hi Saya Mujh Ko

Saath Rooti Thi...


Saath Rooti Thi Mere Saath Hansa Karti Thi,
Wo Larki Jo Mere DiL Mei Basa Karti Thi.

Meri Chahat Ki Talabgar Thi Is Darjgha Kay,
Wo Musalley Pay Namazon Mei Duaa Karti THi.

Ek Lamhey Ka Bicharna Bhi Giran Tha USko,
Rootey Huwe Mujhko Khud Se Juda Karti Thi.

Mere Dil Mei Raha Karti Thi Dhadkan Ban Kar,
Or Saaye Ki Tarha Saath Raha Karti Thi.

Rog Dil Ko Laga Bethi Anjaney Mei,
Meri Aaghosh Mei Marne Ki Duaa Karti Thi.

Baat Qismat Ki Hai Sirf Juda Ho Gaey Hum,
Warna Wo Toh Mujhey Taqdeer Kaha Karti Thi..