Showing posts with label Ghum-e-jaana. Show all posts
Showing posts with label Ghum-e-jaana. Show all posts

Teri Zud Se

Teri Zud Se Nikalna Chahta Hai,
Ye Dariya Rukh Badalna Chahta Hai,

Wo Sapna Jiski Surat Hi Nahi Hai,
Meri Aankhon Mein Chalna Chahta Hai,

Dilon Ki Mandagi Pe Kya Ta'ajub,
Ke Suraj Bhi To Dhalna Chahta Hai,

Nashist-E-Dard Badli Hai To Ab Dil,
Zara Pehloo Badalna Chahta Hai,

Mujhe Bhi Samna Hai Karbala Ka,
Mera Sar Bhi Uchhalna Chahta Hai,

Nahi Hai Tarjumaan-E-Gam Ye Aansu,
Ye Paani Ab Ubalna Chahta Hai,

Tabassum Zar-E-Lab Kehta Hai,
Koi Jazba Machalna Chahta Hai...

Khuda jaanay

dil ko kya ho gaya khuda jaane
kyoon hai aisa udaas kya jaane

keh diya maiNe haal-e-dil apnaa
isko tum jaano ya khuda jaane

jaante-jaante hi jaanega
muJhme kya hai abhi wo kya jaane

tum na paaOge sada-dil muJhsa
jo tagaful ko bhi hayaa jaane

Muhabbat Aur Kahani

Tumhein Kaisy Batayein Hum
Muhabbat Aur Kahani Mein Koi Rishta Nahi Hota
Kahani Mein
To Hum Wapis bhi Atay Hain
Muhabbat Mein Palatney Ka Koi
Rasta Nahi Hota
Zara Socho!
Kabhi Dil Mein Kharashein Daltii Yaadon Ki Saffakii
Kabhi Daman Se Liptii Hay
Kisi Bhooli Hui Saa'at Ki NumNaaki
Mujhay Dekho...
Mery Chehrey Par Kitnay Mausamon Ki Gard Hay
Aur Iss Gard Ki Teh Mein
Samay Ki Dhoop Mein Rakha Hua Ek Aayina
Aur Aayiney Mein Taa Hadd-e-Nazar Tak Phaily
Muhabbat ke Sitarey Aks Ban Kar Jhilmilatey Hain
Nayii Duniyaoon Ka Rasta Batatey Hain
Lakeeron Mein Kahani Hay
Kahani Aur Muhabbat Mein Azal Se Jung Jari Hay
Muhabbat Mein Ek Aisa Morr Ata Hay
Jahan Aa Kar Kahani Haar Jati Hay
Kahani Mein To Kuch Kirdaar Hum
Khud Farz Kartay Hain
Muhabbat Mein Koi Kirdaar bhi
Farzii Nahi Hota
Kahani Ko Kayii Kirdaar
Mil Jul Kar Kahin Aagay Chalatey Hain
Muhabbat Apney Kirdaron Ko Khud
Aagay Barhatii Hay
Kahani Mein Kayii Kirdaar Zinda Hi Nahi Rehtay
Muhabbat Apney Kirdaron Ko Marney Hi Nahi Deti
Kahani ke Safar Mein
Manzaron Ki Dhool Urrti Hay
Muhabbat Ki Musafat RaahGeeron Ko
Bikharney Hi Nahi Deti
Muhabbat Ik Shajar Hay
Aur Shajar Ko Iss Se Kya Matlub
ke Iss ke Saye Mein Jo bhi Thaka Haara
Musafir Aa ke Baitha Hay
Ab Iss Ki Nasl Kya Hay, Rung Kaisa Hay
Kahan Se Aaya Hay Kis Simt Jana Hay
Shajar Ka Kaam To Bas Chhaon Dena
Dhoop Sehna Hay
Isay Iss Se Garaz Kya Hay
Parrao Dalney Walon Mein Kis Ne
Chhaon Ki Taqseem Ka Jhagrra Uthaya Hay
Kahan Kis Ehad Ko Torra,
Kahan Waada Nibhaya Hay
Magar Hum Jantey Hain
Chhaon Jab Taqseem Ho Jaye
To Aksar Dhoop ki Naizey
Rag-o-Pay Mein Utartey Hain
Aur Iss k Zakhm Khurda Log
Jeetay Hain Na Martay Hain...!!!

Saath Roota Tha Meray

Saath roota tha mairey saath hansa kerta tha
Woh shakhs jo mairey dil mein basa kerta tha

Mairi chahat ka talab'gaar tha iss darjey ka
K musaley mein namazon mein dua kerta tha

Aik lamhey ka bicharna bhi gira tha uss ko
Rootey hoye khud ko mujh se juda kerta tha

Mairey dil mein raha kerta tha dharkan ban ker
Aur saaye ki terhan saath chala kerta tha

Roog dil ko laga baitha hai anjaney mein
Mairi aaghosh mein marney ki dua kerta tha

Baat qismat ki hai faiz juda ho gaye hum
Warna woh tu mujhey taqdeer kaha kerta tha..!

Kitni Azziyyat Se

Kitni aziyat say uss na mujhay bhulya ho ga
Meri yadoon na ussay khub rolya ho ga

Baat ba baat ankh us ki jo jhalki ho gii
Us nay charay ko bazoon main chupaya ho ga

Socha ho ga din main kain baar uss nay
Naam bi hathli par bhi likh likh k mitya ho ga

Jahan uss na mera ziker sona ho ga kisi say
Us ki ankhon main koi to ansoo to aya ho ga

Raat ka bhegnay tak nend na ayai ho gi tujhy
Too nay takya ko bhi seenay lagya ho ga

Ho k nidhal meri yadoon say too na Jana
Meri tesweer par apna sar tikaya ho ga

Pocha ho ga jo kisi na teri halat ka sabab
Too na baton main khub usay chupaya ho ga...

Nahin Samjha Woh

Nahi samjha wo ab tak baat meri
Preshan ho main apne meharban se
Wafa se bewafayi k byan se
Sunao dastan apni kaha se
Shikayat kya karoga bad-guma se
Na keh paoga kuch apni zuban se
Chalonga sath tere ai (name)
Ijazat le to lo dard-nihan se
Vahin se zindgi bhatki hai meri
Tumhara sath chuta hai jahan se
Hamare karvan ko kis ne lota
Chalo poche ye meer-e-karvan se
Vo kyu afsurda hai mayos kyu hai
Chalo pochhein zara ujde makan se
Nahi samjha vo ab tak baat meri
Preshan ho main apne meharban se...

Main Nazar Se

main nazar say pee raha hoon
ye sama badal na jayay..
na jhukaoo tum nighaheeen..
kahin raat dhall na jayay ..
meray ashkk b hain is main..
ye shaarab ubbale na jayay...
mera jaam choonay walay ..
tera hath jal na jayay;;;
abi raat kuch hai bakki ..
na utha nikaab sakki..
tera rind girtay girtay ..
kahin phir sanbhal na jayay...
mujay poonkanay say pehlay,,
mera dill nikaal laina..
ye kisi ki hai imannat..
meray sath jall na jayay....

Jeenay Ke Liye Waqt Nahin

Har khushi Hai Logon K Daman Mein
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.


Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.


Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.


Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.


Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.


Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.... 

Log Atay Thay

Loog Aaty They Ghazal Suneney Ko
Hum Teri Baat Kiya Karty They.
Sach Samjhty They TerAy Wadoon Ko,
Raat Din Ghar MeIn Raha Karty They.


Kisi Weerany MeIn Tujh Sey Mil Kar,
Dil MaIn Kia Phool Khila Karty They.
Ghar Ke Deewar Sajany Ke Khatir,
Hum Tera Naam Likha Karty They.


Wo Bhi KYa Din They, Tujhe Bhula Kar,
Hum Tujhe Yaad Kia Karty They.
Kal TujheY Dekh Kar Yaad Aaeya,
Hum Bhi Kabhi MUHABBAT KiYa Karty They.....

Nasibon Ki Baat Hai

Kisi ko mil jaye wafa nasibon ki baat hai 
koi rota rahay tanha nasibon ki baat hai


kisi ko chahna khud se barh kar
na bun sakay wo apna nasibon ki baat hai


koi kisi ki yaad main roya kare buhat 
koi karey na parwah nasibon ki baat hai


apni jaan war deyta hai kisi per koi
phir b rahay khafa nasibon ki baat hai...

Aey Khuda

Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banai Kyun Hai?
Gar Banaye To Muhobbat Main Judai Kyun Hai?


Kyun Diya Pyar Mujhe Iski Zaroorat Kya Thi?
Meri Barbadi Me Shamil Teri Hikmat Kya Thi?
Meri Raahon Me Khushbu Ka Safar Rehta Tha
Dil Me Aabaad Gulaboun Ka Nagar Rehta Tha
Zindagi Khaar Bhari Raah main Layi Kyun Hai?
Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banai Kyun Hai?


Mai Hoon Bikhra Hua Gardish Me Sitare Mere
Gham Ke Tufan Mai Doobe Hai Kinare Mere
Na Khatavaar Na Mujrim Na Gunahgar Hoon Main
Sach To Ye Hai Ki Muhobbat Ka Parastar Hu Main
Yeh saza Phirbhi Mere Hisse Mai Ayee Kyun Hai?
Aye Khuda Tune Muhobaat Ye Banae Kyu Hai


Mai Agar Roun To Sehra Ko Samandar Kar Doon
Sakht Ho Jaoon Agar Mome Ko Pathar Kar Doon
Raakh Ho Jaye Jahaan Mai Jo Agar Aah Bharun
Aasma Toot pare Tujse Jo Fariyad Karu
Etni Gehraaee Mere Ishq Mai Aai Kyun Hai?

Muhabbat Ka Asar

Muhabbat Ka Asar Hoga,Ghalat Fehmi Main Mat Rehna
Who Badle Ga Chalan Apna,Ghalat Fehmi Main Mat Rehna

TasaLli bhi Usay Dena Ye Mumkin Hai Mai Laut Aaon
Magar Ye bhi Usay Kehna,Ghalat Fehmi Main Mat Rehna

Tumhara Tha,Tumhara Hoon,Tumhara Hi Rahoon Ga Mai
Mere Baray Main Is Darja Ghalat Fehmi Main Mat Rehna

Bacha Le Ga Tujhe Sehra Ki Tapti Dhoop Se Kaun
Kisi Ki Yaad Ka Saya?Ghalat Fehmi Main Mat Rehna

Muhabbat Ka Bharam Toota Hai,Ab Chup Chup ke Rote Ho
Tumhe Mai Ne Kaha Tha Na,Ghalat Fehmi Main Mat Rehna

Na Khushi Ab

apni hastee ka hota sabhi ko paas hai
apni apni nazar maen har koi khaas hai

voh khushi jiski yaas maen gum umr sari
gar sochho to vohi dil ke aaspaas hai

yun to sabhi apne apne safar ke musafir
par ek hamsafar ki har kisi ko aas hai

tishnagi badhne lagi deedaare-yaar ki
bujhti nahi jo kabhi ye voh pyaas hai

ladkhadati zubaan shikwaye-jaure-adoo
hota nahi hamse zore-tarke-ikhlaas hai

hoga jahaan maen qayam aman kis tarah
aadmi ko hi nahi aata aadmi raas hai

husno-ishq se pare aaj fikro-nazar meri
pehlu maen tere dil phir bhi udaas hai

behis hui jati hai "fer" aalame-zindagi
na khushi ab koi na ghame-ehsaas hai

Zouq-e-Sitam

zauq-e-sitam junuun kee hadon se guzar gayaa
kam-zarf zindaa rah gaye, insaan mar gayaa

Gham Khaanaa-e-jahaan men kise jurrat-e-qayaam
meraa hi hausla thaa, do din Thehar gayaa

hai shiddat-e-Khuloos ek zurm-e-aashiquii
parwaana jal ke shamma ko badnaam kar gayaa

baithe hain aaj aaiinaa-e-jaan le ke wo
ab jaaniye ke nazm-e-do aalam sanwar gayaa

lillah ! aap mujhse muhabbat na keejiye
do roz hi men aapkaa chehraa utar gayaa

pehle tau zindagii kee tamanna thii ishq mein
ab dhuundhtaa hun main, meraa qaatil kidhar gayaa

raha kar tilism-e-Khaana-e-hastii mein ai Shakeel
tau main Khud apne hi saaye se Darr gayaa

Khamoshi Keh Rahi Hai

Khamoshi keh rahi hai kaan main kiya 
Aa raha hai mere gumaan main kiya 

ab mujhe koii Toktaa bhi nahin 
yahi hota hai khandaan main kiya 

bolte kiyun nahin mere haq main 
Aable paDr gaye zubaan main kiya 

meri har baat be-asar hi rahi 
nuqs hai kuch mere bayaan main kiya 

who mile to ye puchna hai mujhe 
abhi hun mai teri Aamaan main kiya 

shaam hi se dukaan-e-diid hai band 
nahin nuksaan tak dukaan main kiya 

yun jo taktaa hai Aasmaan ko tu 
koii rehta hai Aasmaan main kiya 

ye mujhe chain kyun nahin paDrta 
ek hi shaKhs tha jahaan main kiya

Abhi Dard Baaqi Hai

abhi woh dard baqi hai 
agarche waqt marham hai 

magar kuch waqt lagta hai 
kisi ko bhool janey mein

dobara dil basaney mein 
abhi kuch waqt lagna hai

abhi woh dard baqi hai 
mein kaise naii ulfat mein

apni zaat ko gum kar doon 
ke mere jism-o-wajdaan mein

abhi woh fard baqi hai 
abhi us shakhs ki mujh per

nigah-e-sard baqi hai 
abhi to ishq ke raston ki 

mujh per gard baqi hai 
abhi woh dard baqi hai.....

Sach

Abhi Woh Dard Baqi Hay...... 

Jis Samt Bhi Dekhun


Jis samt bhi dekhoon nazar aata hai k tum ho !
Aai jaan-e-jahaa(n) ! ye koi tum sa hai k tum ho !

Ye khwaab hai, khushbu hai k jhaunka hai k pal hai
Ye dhund hai, baadal hai k saaya hai k tum ho !

Is deed ki saa'at mein kaee rang hain larzaa(n)
Main hoon k koi aur hai, duniya hai k tum ho !

Dekho ye kisi aur ki aankhein hain k meri !
Dekhoon ye kisi aur ka chehra hai k tum ho !

Ye umr-e-gurezaa(n) kahin tthehre to ye jaanoon
Har saans mein mujh ko yehi lagta hai k tum ho !

Har bazm mein mauzu-e-sukhan, dil-zadgaa(n) ka
Ab kaun hai, Sheereen hai k Laila hai k tum ho !

Ik dard ka phaila hua sehra hai k main hoon !
Ik mauj mein aaya hua darya hai k tum ho !

Wo waqt na aaye k dil-e-zaar bhi soche
Is shehr mein tanha koi ham sa hai k tum ho !

Aabaad ham aashufta-saron se nahi maqtal
Ye rasm bhi is shehr mein zinda hai k tum ho

Aai jaan-e-Faraaz ! itni bhi taufeeq kise thi
Ham ko gham-e-hasti bhi gavaara hai k tum ho !

Ajnabi

Ajnabi jo barisho main
Ajnabi bankar bheegta hoon

Ajanbi jo kadi dhoop main
Ajnabi bankar garmi bardash karta hoon

Ajnabi jo toofano mai
Ajnabi bankar akela khadta hoon

Ajnabi jo har khusiyon main 
Ajnabi bankar hasta hoon

Ajanbi jo har dukhoon main 
Ajanbi bankar rota hoon

Ajanbi hi mera pyyar hai
Ajnabi hi mera yaar hai

Ajnabi hi meri saansain hai 
Ajnabi hi mere rastain hai

Ajnabi hi ab meri aan hai
Ajnabi si meri shaan hai

Ajnabi hi mera din hai
Ajnabi hi meri raat hai

AJnabi si meri neend 
Ajnabi hi mere saapne


Ajnabi hi mere dost hai
Ajnabi hi mere dushman hai

Ajanbi hi ab mera dil hai
Ajnabi hi abmeri dhadkan hai

Ajnabi meri duniya hai
Ajnabi mera jahaan hai

Ajnabi bankar aayaoon hoon
is duniya main

Ajnabi bankar jaaonga
is duniya sain

Mujhe jaane ki koshish na karo
Mujhe pehchane ki kosish na karo 

Ajnabi hi mera naam hai
Ajnaabi hi meri pehchaan hai

MAIN EK AJNABI
MUJHE AB AJNABI HI REHNE DO............... 

Thora Sa Pyar

bhool payengay gay na hum, yadein pehli wafa ki 
Thoora sa pyar hoowa tha, ab bhi hai baaki 

Bewafa tum nahi hoo, bewafa hum nahi hain
apni kismat main shayed ghum he kuch kum nahie hai 
iss main meri khata kiya koi mujh ko samjhaye 
pyar karnay ki aise kyun saza dil yeh paye 

main nay Aeatbar kiya tha milli roswayee 
Thoora sa pyar hoowa tha, ab bhi hai baaki 

dard jitnaa millay gaa, pyar utnaa bharhay gaa 
Apni chahat kay agay yeh zamana jhukay gaa 
Pyar hum nay kiya hai, pyar tum nay kiya hai 
yaar phir imtihaan kion, zamanay nay liya hai 

saath hum dain gay teraa, tujh say wada hai sathee 
Thoora sa pyar hoowa tha, ab bhi hai baaki 

janay kaise hui hai mujh say aise nadanee 
main nay bikhradee apni zindagi ki kahani 
pass aa kar bhi mujh say dur woh hoo gaya hai 

kaisay bataon kisi koo mera kiya khoo gaya hai 
Dil say dil mill gaya tha, apna milnaa hai bakee 
Thoora sa pyar hoowa tha, ab bhi hai baaki 

Dunya Ne

duniya ne ham pe jab koi ilzaam rakh diya
ham ne muqaabil us ke tera naam rakh diya

ik Khaas had pe aa gai jab teri berukhi
naam us ka ham ne gardish-e-ayyaam rakh diya

main larkharaa raha hoon tujhe dekh dekh kar
tune to mere saamne ik jaam rakh diya

kitna sitam zarf hai vo saahib-e-jamaal
us ne diya jala ke lab-e-baam rakh diya

insaan aur dekhe baghair us ko maan lay
ik Khauf ka bashar ne Khuda naam rakh diya

ab jis ke jii mein aaye wahi paaye raushani
ham ne to dil jalaa ke sar-e-aam rakh diya

kya maslahat shanaas tha wo aadami 'Qateel'
majabooriyon ka jis ne wafa naam rakh diya