Showing posts with label Faiz Ahmed Faiz. Show all posts
Showing posts with label Faiz Ahmed Faiz. Show all posts

Saath Roota Tha Meray

Saath roota tha mairey saath hansa kerta tha
Woh shakhs jo mairey dil mein basa kerta tha

Mairi chahat ka talab'gaar tha iss darjey ka
K musaley mein namazon mein dua kerta tha

Aik lamhey ka bicharna bhi gira tha uss ko
Rootey hoye khud ko mujh se juda kerta tha

Mairey dil mein raha kerta tha dharkan ban ker
Aur saaye ki terhan saath chala kerta tha

Roog dil ko laga baitha hai anjaney mein
Mairi aaghosh mein marney ki dua kerta tha

Baat qismat ki hai faiz juda ho gaye hum
Warna woh tu mujhey taqdeer kaha kerta tha..!

Dua

Mujh Se Pehli Si Muhabbat...

Mujh se pehli si muhaabat meray mahboob na maang

Main ne samjha tha ke tu hai tu darakhshaan hai hayaat
Tera ghum hai tu ghum-e-duhr ka jhagra kya hai?
Teri surat se hai aalam main baharon ko sabaat
Teri aankhon ke siwa dunya main rakha kya hai?
Tu mil jaye tu taqdeer nigoon hojaye
Yun na tha, Main ne faqat chaha tha yun hojaye
Aur bhi dukh hain zamanay main muhabbat ke siwa
Rahatain aur bhi hain wasl ki raahat ke siwa
An ginat sadyon ke tareek baheemana talism
Raisham-o-atlas-o-kamkhuwab main bunwaye howe
Ja baja biktay howe kocha-o-bazaar mai jism
Khaak main lathray howe khoon main nehlaye howe

lout jaati hai udhar ko bhi nazar kya kejiye
Ab bhi dilkash hai tera husn, magar kya kijiye

Aur bhi dukh hain zamanay main muhabbat ke siwa
Raahatain aur bhi hai wasl ki raahat ke siwa
Mujh se pehlay si muhabbat meray mahboob na maang....

Khuda Wo Waqat Na Laye...

Khuda wo waqt na laye ke sogwaar ho tu

Sukoon ki neend tujhay bhi haraam hojaye
Teri musarrat-e-peham tamam hojaye
Teri hayaat tujhay talkh jaam hojaye

Ghumoon se aaina-e-dil gudaaz hojaye

Hujoom-e-yaas se bay taab ho ke reh jaye
Wufoor-e-dard se saymaab ho ke reh jaye
Tera shabaab faqat khuwaab ho ke reh jaye

Ghuroor-e-husn sarapa niyaaz ho tera

Taweel raton main tu bhi qaraar ko tarsay
Teri nigaah kisi ghumgusaar ko tarsay
Khizaan raseeda tamanna bahaar ko tarsay

Koi jabeen na teray sunnat-e-aastan pe jhukay

Ke jins-e-izz-o-aqeedat se tujh ko shaad karay
Faraib wa'da farda pe aetimaad karay
Khuda wo waqt na laye ke Tujh ko yaad aye

Wo dil ke teray liye beqarar ab bhi hai
Wo aankh jis ko teraa intezar ab bhi hai.....

Kab Yaad Main...

Kab yaad main tera saath nahin, Kab haath main tera haath nahin
Sad shukar ke apni raaton main ab hijr ki koi raat nahin,

Mushkil hain haalat agar wahan, Dil baich ayen jaan day ayen
Dil walon kocha-e-jaana main kya aisay bhi haalat nahin,

Jis dhaj se koi maqtal main gaya, Wo shaan salamat rehti hai
Ye jaan tu aani jaani hai, Is jaan ki tu koi baat nahin,

Medaan-e-wafa darbaar nahin, yahan naam-o-nasab ki pooch kahan
Aashiq tu kisi ka naam nahin, kuch ishq kisi ki zaat nahin,

Gar baazi ishq ki baazi hai jo chaho laga do darr kesa
Gar jeet gaye tu kya kehna, haaray bhi tu baazi maat nahin....

Hum Tareek Rahon Main...

Teray honton ke pholon ki chahat main hum
Daar ki khushk tehni pe waaray gaye
Teray haathon ki sham'oon ki hasrat main hum
Neem tareek rahoon main maaray gaye

Soliyon par humaray labon se paray
Teray honton ki laali lapakti rahi
Teri zulfon ki masti barasti rahi
Teray haathon ki chandi damakti rahi

Jab ghuli teri raahon main shaam-e-sitam
Hum chalay aaye, laaye jahan tak qadam
Lab pe harf-e-ghazal. Dl\il main qandeel-e-ghum
Apna ghum tha gawahi teray husn ki
Dekh qaa'im rahay is gawahi pe hum
Hum jo tareek rahoon main maaray gaye...

Donon Jahan Teri...

Donon jahaan teri muhabbat main haar ke
Wo ja raha hai koi shab-e-ghum guzaar ke

Veeraan hai maykada, khum-o-saaghar udaas hain
Tum kya gaye ke rooth gaye din bahaar ke

Ek fursat-e-gunaah mili, Wo bhi chaar din
Dekhay hain hum ne hoslay parwardigaar ke,

Dunya ne teri yaad se baygaana kardiya
Tujh se bhi dilfaraib hain ghum-e-rozgaar ke

Bhoolay se muskura tu diye thay wo aaj Faiz
Mat pocho walwalay dil-e-naakarda kaar ke...

Saro Dishbaana...

Gum hai ek kaif main fazaaye hayaat
Khaamashi sajda-e-niyaaz main hai
Husn-e-masoom khuwaab-e-naaz main hai

Aey ke tu rang-o-bo ka toofan hai
Aey ke tu jalwa gar bahaar main hai
Zindagi teray ikhtiyaar main hai

Phool lakhon baras nahin rahtay
Do ghari aur hai bahaar-e-shabab
Aa ke kuch dil ki sun sunalain hum
Aa muhabbat ke geet ga lain hum

Meri tanhaaiyon pe shaam rahay?
Hasrat-e-deed na tamam rahay?
Dil main betaab hai sada-e-hayaat
Aankh gohar nisaar karti hai

Aasmaan par udaas hain taaray
Chaandni intezar karti hai
Aa ke thora sa pyar karlain hum
Zindagi zar nigaar karlain hum!!!

Yaad...

Dasht-e-tanhai main, aey jaan-e-jahan, larzaan hain
Teri awaaz ke saaye, teray hontoon ke saraab
Dasht-e-tanhai main, doori ke khas-o-khaak talay
Khil rahay hain, teray pahlo ke saman aur gulaab

Uth rahi hai kaheen qurbat se teri saans ki aanch
Apni khushboo main sulagti hui madham madham
Door, ufaq paar, chamakti hui qatra qatra
Gir rahi hai teri dildaar nazar ki shabnam

Is qadar pyaar se, aey jaan-e-jahan, rakha hai
Dil ke rukhsaar pe us waqt teri yaad ne haath
Yun gumaan hota hai, Garche hai abhi subh-e-firaaq
Dhal gaya hijr ka din aa bhi gae wasl ki raat....

Mulaaqat...

Ye raat us dard ka shajar hai
Jo mujh se, tujh se azeem tar hai
Azeem tar hai ke us ki shakhoon
Main laakh mash'al bakaf sitaaroon
Ke karwaan, ghir ke kho gae hain
Hazaar maahtaab is ke saaye
Mai apna sub noor, ro gaye hain
Ye raat us dard ka shajar hai
Jo mujh se tujh se azeem tar hai
Magar isi raat ke shajar se
Ye chand lamhon ke zard pattay
Giray hain, aur teray geso'uon main
Ulajh ke gulnaar hogaye hain
Usi ki shabnam se khamoshi ke
Ye chand qatray, teri jabeen par
Baras ake, Heeray piro gaye hain....

Alam Naseebon...

Alam Naseebon, Jigar Figaaron
Ki subah, aflaak par nahin hai
Jahan pe hum tum kharay hain donon
Sahar ka roshan ufaq yaheen hai
Yaheen pe ghum ke sharaar khil kar

Shafaq ka fulwaar ban gaye hain
Yaheen pe qaatil dukhon ke teeshay
Qitar andar qitaar kirnon
Ke aatishain haar ban gaye hain

Ye ghum jo is raat ne diya hai
Ye ghum sahar ka yaqeen bana hai
Yaqeen jo ghum se kareem tar hai
Sahar jo shab se azeem tar hai....

Dil Main Yun...


DIL MAIN AB YUN TERAY BHOOLAY HUWAY GHUM YAAD ATAY HAIN
JAISAY BICHRAY HUWAY SANUM KABAY MAIN ATAY HAIN

EK EK KAR K HUEY JATAY HAIN TARAY ROSHAN
MERI MANZIL KIE TARAF TERAY KADUM ATAY HAIN

RAQS E MAIN TEEZ KAROO SAAZ KIE LAY TEEZ KAROO
SU E MAY KHANA E HARUM ATAY HAIN

EK HUMEIN KO NAHIN EHSAN UTHANY KO DAMAAGH
WOH TU JUB ATAY HAIN MAEL E BA KARAM ATAY HAIN

KUCH DEER AUR NA GUZRAY SHAB E FURQAT SAY KAHO
DIL BHI DHUKTA HAI AUR YAAD BHI KUM ATIE HAIN...

Raat Yun Dil Main...

raat yun dil main teri khoi hui yaad aai
jaise viraane main chupke se bahaar aa jaae

jaise sahraaon main haule se chale baad-e-naseem
jaise bimaar ko bewajah qaraar aa jaae…

Raat Yun Dil Main..

raat yun dil main teri khoi hui yaad aai
jaise viraane main chupke se bahaar aa jaae
jaise sahraaon main haule se chale baad-e-naseem
jaise bimaar ko bewajah qaraar aa jaae

Yaad..

Dasht-e-tanhaee maiN ai jaan-e-jahaaN larzaaN hai
Teri aavaaz kay saaey, teray hontoN kay saraab
Dasht-e-tanhaee maiN dooree kay khas-o-khaak talay
Khil rahay haiN teray pehloo kay saman or gulaab

Uth rahee hai kaheeN qurbat say teri saaNs kee aanch
Apnee khushboo maiN sulagti hooee madham madham
Door ufaq paar chamaktee hooee qatra qatra
Gir rahee hai teri dildaar nazar kee shabnam

Is qadar payaar say ai jaan-e-jahaaN rakha hai
Dil kay rukhsaar pay is waqt teri yaad naiN haath
YooN gumaaN hota hai gerchay hai abhee subh-e-firaaq
Dhal gaya hijr ka din aa bhi gaee wasl ki raat