Donon Jahan Teri...

Donon jahaan teri muhabbat main haar ke
Wo ja raha hai koi shab-e-ghum guzaar ke

Veeraan hai maykada, khum-o-saaghar udaas hain
Tum kya gaye ke rooth gaye din bahaar ke

Ek fursat-e-gunaah mili, Wo bhi chaar din
Dekhay hain hum ne hoslay parwardigaar ke,

Dunya ne teri yaad se baygaana kardiya
Tujh se bhi dilfaraib hain ghum-e-rozgaar ke

Bhoolay se muskura tu diye thay wo aaj Faiz
Mat pocho walwalay dil-e-naakarda kaar ke...

0 comments: