Hum Tareek Rahon Main...

Teray honton ke pholon ki chahat main hum
Daar ki khushk tehni pe waaray gaye
Teray haathon ki sham'oon ki hasrat main hum
Neem tareek rahoon main maaray gaye

Soliyon par humaray labon se paray
Teray honton ki laali lapakti rahi
Teri zulfon ki masti barasti rahi
Teray haathon ki chandi damakti rahi

Jab ghuli teri raahon main shaam-e-sitam
Hum chalay aaye, laaye jahan tak qadam
Lab pe harf-e-ghazal. Dl\il main qandeel-e-ghum
Apna ghum tha gawahi teray husn ki
Dekh qaa'im rahay is gawahi pe hum
Hum jo tareek rahoon main maaray gaye...

0 comments: