Yaad...

Dasht-e-tanhai main, aey jaan-e-jahan, larzaan hain
Teri awaaz ke saaye, teray hontoon ke saraab
Dasht-e-tanhai main, doori ke khas-o-khaak talay
Khil rahay hain, teray pahlo ke saman aur gulaab

Uth rahi hai kaheen qurbat se teri saans ki aanch
Apni khushboo main sulagti hui madham madham
Door, ufaq paar, chamakti hui qatra qatra
Gir rahi hai teri dildaar nazar ki shabnam

Is qadar pyaar se, aey jaan-e-jahan, rakha hai
Dil ke rukhsaar pe us waqt teri yaad ne haath
Yun gumaan hota hai, Garche hai abhi subh-e-firaaq
Dhal gaya hijr ka din aa bhi gae wasl ki raat....

0 comments: