Ye raat us dard ka shajar hai
Jo mujh se, tujh se azeem tar hai
Azeem tar hai ke us ki shakhoon
Main laakh mash'al bakaf sitaaroon
Ke karwaan, ghir ke kho gae hain
Hazaar maahtaab is ke saaye
Mai apna sub noor, ro gaye hain
Ye raat us dard ka shajar hai
Jo mujh se tujh se azeem tar hai
Magar isi raat ke shajar se
Ye chand lamhon ke zard pattay
Giray hain, aur teray geso'uon main
Ulajh ke gulnaar hogaye hain
Usi ki shabnam se khamoshi ke
Ye chand qatray, teri jabeen par
Baras ake, Heeray piro gaye hain....
Jo mujh se, tujh se azeem tar hai
Azeem tar hai ke us ki shakhoon
Main laakh mash'al bakaf sitaaroon
Ke karwaan, ghir ke kho gae hain
Hazaar maahtaab is ke saaye
Mai apna sub noor, ro gaye hain
Ye raat us dard ka shajar hai
Jo mujh se tujh se azeem tar hai
Magar isi raat ke shajar se
Ye chand lamhon ke zard pattay
Giray hain, aur teray geso'uon main
Ulajh ke gulnaar hogaye hain
Usi ki shabnam se khamoshi ke
Ye chand qatray, teri jabeen par
Baras ake, Heeray piro gaye hain....
0 comments:
Post a Comment