dekhi jo meri nabz tu ik lamha soch ker
kagaz lia aur ishq ka bimar likh dia
qurban kion na jaon main aisy tabeeb per
nuskhy main jis ne shurbat e didar likh dia...
Hosh vaalon ko Khabar kyaa beKhudii kyaa chiiz hai
ISHQ kiijeye phir samajhiye zindagii kyaa chiiz hai
Un se nazaren kyaa milii raushan fizaayen ho gaiin
Aaj jaanaa pyaar kii jaaduugarii kyaa chiiz hai
Khulatii zulfon ne sikhaaii mausamon ko shaayarii
jhukatii aaNkhon ne bataayaa maikashii kyaa chiiz hai
Ham labon se kah na paaye un se haal-e-dil kabhii
Aur vo samajhe nahiin ye Khaamoshii kyaa chiiz hai...
ishq kernay ke bhi adaab howa kertay hai
jagtee ankho ke bhi khuwab howa kerti hia
her koi ro ke dikhaye ye zaroori to nahi
khushk ankho mai bhi selaab howa kertay hai...
Deyar-e Ishq main apna makam peda kar
Neya zamana nae subah sham peda kar
Khuda ager dil-e Fitrat shanas de tujh ko
sakot-e lalao gul main apna kalam peda kar...
Har Mehfil Main ISHQ Ka Charchay Karnay Partay Hain
Dil Walon Ko Mehngay Soday Karnay Partay Hain
Ham To Ashiq Log Hain Apni Dhun Kay Pakay Hain
Ham Ko Apnay Waday Puray Karnay Partay Hain...
kon samjay ga un ka dard bhala
jin ki dharkan nay chot khai hai
log kehtay hein yahan ISHQ jisay
aesa lagta hai be- wafai hai...
ab kyon na zindagi pe muhabbat ko vaar den
iss ASHIQI mein jaan se jaanaa bahut hua
lo phir tere labon pe ussi bevafaa ka zikr
ahmad 'faraz' tujh se kahaa naa bahut hua...
ISHQ wahi hai jo ho ektarfa,
IZHAR e ISHQ to khwahish ban jaati hai.
HAI agar ISHQ to aankho mein dekho ,
ZUBAN kholne se ye numaish ban jaati hai...