Ash'aar...


Raat baRi mushkil se sulaYA tha khud ko maine FARAZ
Apni ankho ko tere khwaab ka lalach de kar...


kon tolega ab heeron main hamare aansu faraz,
woh jo dard ka aik tajir tha dukan chorh gaya...


hamain toh muhabbat k liye bhi zindagi kaam lagti hai faraz,
magr log yahan nafraton k liye bhi waqt nikal lete hain....


khairat main mili khushi mujhe achi nhi lagti faraz,
main apne dukhon main rehta hun nawabon ki tarah...


be naam zindagi ki haqiqat na pochiye faraz,
kuch pur khuloos log they barbad ker gaye....


sochta hun kabhi tere dil main utar ker dekh lon faraz,
kon basa hai tere dil main jo mujhe basne nhi deta...


phira hun sare zamane main dar ba dar kaisa,
mai tere bad bhi zinda raha magr kaisa,
mai jis k hijr mai roya hun pagalon ki tarah faraz
woh kal mila toh hasna mere haal per kaisa...


gam he aisa tha k dil shaq ho gaya faraz,
warna kaise kaise haadsey hans hans k sahey jana parey...


faraz zulm hai itni khud aaitamadi bhi,
k raat thi bohot andheri chiraag bhi na lia...


usey faraz agar dukh na tha mere bicharne ka,
toh woh kyu door tak dekhta raha mujhe...


rone kay bhi kuch aadab huwe kerte hain faraz,
yeh inki gali hai tera gamkhana nhi....


tum takhulus ko bhi ikhlass samajhte ho faraz,
dost hota nhi har haath milane wala...


sabhi ko jaan thi piyari,sabhi they labbusta,
bus aik faraz tha zaalim se chup raha na gaya...


jab koi zakham bhara daag bana,
jab koi bhool gaya yaad aaya,
ye muhabbat bhi hai kia faraz,
jis ko bhi bhoole woh sada yaad aaya...


mujh se her baar woh apni nazrain chura leta hai faraz
main ne kagaz par bhi dekhi hain bana ker aankhien uski....

0 comments: