Showing posts with label My Diary. Show all posts
Showing posts with label My Diary. Show all posts

Teri Zud Se

Teri Zud Se Nikalna Chahta Hai,
Ye Dariya Rukh Badalna Chahta Hai,

Wo Sapna Jiski Surat Hi Nahi Hai,
Meri Aankhon Mein Chalna Chahta Hai,

Dilon Ki Mandagi Pe Kya Ta'ajub,
Ke Suraj Bhi To Dhalna Chahta Hai,

Nashist-E-Dard Badli Hai To Ab Dil,
Zara Pehloo Badalna Chahta Hai,

Mujhe Bhi Samna Hai Karbala Ka,
Mera Sar Bhi Uchhalna Chahta Hai,

Nahi Hai Tarjumaan-E-Gam Ye Aansu,
Ye Paani Ab Ubalna Chahta Hai,

Tabassum Zar-E-Lab Kehta Hai,
Koi Jazba Machalna Chahta Hai...

Khuda jaanay

dil ko kya ho gaya khuda jaane
kyoon hai aisa udaas kya jaane

keh diya maiNe haal-e-dil apnaa
isko tum jaano ya khuda jaane

jaante-jaante hi jaanega
muJhme kya hai abhi wo kya jaane

tum na paaOge sada-dil muJhsa
jo tagaful ko bhi hayaa jaane

Bhool Jaa

mat shab-e-gham mein uski tamana jala, ay dil-e-muztarib tu ussay bhool ja
khali aankhoon ko na ratjagoon se saja ,ay dil-e-muztarib tu ussay bhool ja

meri shamien udassi mein dhalti rahien,na'umeedi liya mera din hoo shroo
kab talak zeest mujh per hansay gi bata,ay dil-e-muztarib tu ussay bhool ja

lams utra tha uss ka rag-o-jan mein,tha kabhi wo hamaray meherban mein
ab nahin hey mager thi jo uss ki ata,ay dil-e-muztarib tu ussay bhool ja

hijr ki sakhtiyan mein sahoon kis liya,uss nay dekha nahin mur k ek baar bhi
maan lo k hamara nahin wo raha,ay dil-e-muztarib tu ussay bhool ja

yaad k dairoon ka safer ab nahin,chahiye bewafa' koi manzil nai...........
herf-e-aakhir nahin wo meri zaat ka,ay dil-e-muztarib tu ussay bhool ja

Ke Meri Zindagi Tum ho

mujhay ek baat kehni thi, tumhain itna bataana tha
ke meri zindagi ho tum , tumhain hi sochta hon main

buhat masrof rehta hon , buhat say kaam hain mujh ko
magar tum say nahin ghafil,tumhain hi sochta hon main

buhat say log miltay thay , magar jab say tumhain dekha
na janay kya hua mujh ko , tumhain hi soochta hoon main

mujhay auroon say kya lena, mera logoon say kya rishta
meri dunya ho tum hi tum , tumhain hi soochta hoon main

nigahoon main basi ho tum , khayaloon main samai ho
sukoon-e-dil ho tum mera, tumhian hi soochta hoon main

buhat mushkil hai ye jeena, tumharay bin mera rehna
kay meri saans main ho tum , tumhain hi sochta hon main

kabhi tanhai main betho, agar tanhai main tum ho
tou itna yaad kar lena , tumhain hi soochta hoon main

Hogaye Aankh Gulaabi

Ho Gaye Aankh Gulaabi Dekhiey
Ishq Ki Haazir Jawaabi Dekhiey

Raaz-E-Dil Parh Lega Zaalim Aaina
Sooch Kar Chehra Kitaabi Dekhiey

Jaatay Jaatay Dooriyan Jaati Rahin
Dosti Ki Kaamiyaabi Dekhiey

Pyaar K Lamhay Parindon Say Urray
Waqt Ki Khaana Kharaabi Dekhiey

hai ABhi Paaqi Puraani Khushboain
Khool Kar Woh Khat Jawaabi Dekhiey

Yohn Nahin Banti Gulaaboon Si Ghazal
Ghool Kar Rangat Gulaabi Dekhiey

Muhabbat Aur Kahani

Tumhein Kaisy Batayein Hum
Muhabbat Aur Kahani Mein Koi Rishta Nahi Hota
Kahani Mein
To Hum Wapis bhi Atay Hain
Muhabbat Mein Palatney Ka Koi
Rasta Nahi Hota
Zara Socho!
Kabhi Dil Mein Kharashein Daltii Yaadon Ki Saffakii
Kabhi Daman Se Liptii Hay
Kisi Bhooli Hui Saa'at Ki NumNaaki
Mujhay Dekho...
Mery Chehrey Par Kitnay Mausamon Ki Gard Hay
Aur Iss Gard Ki Teh Mein
Samay Ki Dhoop Mein Rakha Hua Ek Aayina
Aur Aayiney Mein Taa Hadd-e-Nazar Tak Phaily
Muhabbat ke Sitarey Aks Ban Kar Jhilmilatey Hain
Nayii Duniyaoon Ka Rasta Batatey Hain
Lakeeron Mein Kahani Hay
Kahani Aur Muhabbat Mein Azal Se Jung Jari Hay
Muhabbat Mein Ek Aisa Morr Ata Hay
Jahan Aa Kar Kahani Haar Jati Hay
Kahani Mein To Kuch Kirdaar Hum
Khud Farz Kartay Hain
Muhabbat Mein Koi Kirdaar bhi
Farzii Nahi Hota
Kahani Ko Kayii Kirdaar
Mil Jul Kar Kahin Aagay Chalatey Hain
Muhabbat Apney Kirdaron Ko Khud
Aagay Barhatii Hay
Kahani Mein Kayii Kirdaar Zinda Hi Nahi Rehtay
Muhabbat Apney Kirdaron Ko Marney Hi Nahi Deti
Kahani ke Safar Mein
Manzaron Ki Dhool Urrti Hay
Muhabbat Ki Musafat RaahGeeron Ko
Bikharney Hi Nahi Deti
Muhabbat Ik Shajar Hay
Aur Shajar Ko Iss Se Kya Matlub
ke Iss ke Saye Mein Jo bhi Thaka Haara
Musafir Aa ke Baitha Hay
Ab Iss Ki Nasl Kya Hay, Rung Kaisa Hay
Kahan Se Aaya Hay Kis Simt Jana Hay
Shajar Ka Kaam To Bas Chhaon Dena
Dhoop Sehna Hay
Isay Iss Se Garaz Kya Hay
Parrao Dalney Walon Mein Kis Ne
Chhaon Ki Taqseem Ka Jhagrra Uthaya Hay
Kahan Kis Ehad Ko Torra,
Kahan Waada Nibhaya Hay
Magar Hum Jantey Hain
Chhaon Jab Taqseem Ho Jaye
To Aksar Dhoop ki Naizey
Rag-o-Pay Mein Utartey Hain
Aur Iss k Zakhm Khurda Log
Jeetay Hain Na Martay Hain...!!!

Acha Hoa Tu Raqeb K Sath Hai !

Acha howa tu raqeeb k sath hai
Bas ab tujhe chahne ki ana na rahi,

Jatay hoye mur k dhaikha bhi na mairi taraf
K bus ab is dil may tairi sana na rahi,

Zamanay ko ab na tout ker dhikhana hia
Tu jaan le k mairi hasti ab faanna na rahi,

K bana dia halaat ne pathar humain Zaalim,
K bas ab sheesh mahel ki tamanna bhi na rahi...

Haal-e-Dil


Haal-e-Dil Woh Kabhi Kisi Ko Na Kehti Ho Gi
Par Bina Mairey Bohat Mushkil Say Rehti Ho Gi

Kabhi Din Ke Kisi Udaas Pal Mein Woh
Mairi Shararton Ko Soch Ke Hansti Ho Gi

Be-sabab Udaasi Ka Sabab Jab Koi Na Poochta Ho Ga
Mairey Israar Ko Kar Ke Yaad Woh Bhi Roti Ho Gi

Mairi Nazar Uss Ke Chehrey Pey Jeeti Ho Gi
Mairi Zaat Uss Ki Aankhon Mein Terti Ho Gi

Main Kar Raha Hoon Sirf Uss Ke Iqrqar Ka Intezaar
Jaaney Woh Mairi Ye Baat Bhi Samjhi Ho Gi

Issi Aas Pay Jee Raha Hoon Main Abb Tak
Shayad Woh Khuwaab Mairey Bhi Yoon Hi Daikhti Ho Gi

Main Aaina Hoon..


Main Aiyna Hoon,Wo Mera Khayal Rakhti Hay
Main Toot-ta Hoon Tu Chun Kar Sambhal Rakhti Hay,

Har Aik Maslay Ka Hal Nikal Rakhti Hai
Zaheen Hai,Mujhay Hairat Main Daal Rakhti Hay,

Main Jab Bhi Tark-e-taluq Ki Baat Karta Hoon
Woh Rokti Hay Mujhay, Kal Pay Taal Rakhti Hay,

Woh Mairay Dard Ko Chunnti Hay Apnay Pooron Say
Woh Mairay Wastay Khud Ko Nidhaal Rakhti Hay,

Woh Dobnay Nahi Daiti Hay Dukh Kay Darya Main
Mairay Wajood Ki Naow Uchaal, Rakhti Hay,

Duain Uss Ki , Balaoon Ko Rook Laiti Hain?
Woh Mairay Chaar Soo Hathon Ki Dhaal Rakhti Hay,

Ik Aisi Dhunn ,Kay Nahin Phir Kabhi Main Nay Suni
Woh Munfarid Saa Hansi Main Kamal Rakhti Hay..... ,

Usay Nadamatain Mairi Kahan Gawara Hain,,
Woh Mairay Wastay Asaan Sawal Rakhti Hay,

Bichar Kay Uss Say Main Duniya Ki Thokaron Main Hon
Woh Pass Ho Tau Mujhay Lazawaal Rakhti Hay......... ,

Woh Muntazir Mera Rehti Hay Dhoop Main
Main Laut-ta Hoon To Chahoon Nikal Rakhti Hay...!

Gulshan Hai...


Gulshan hai gul hai jaam hai sar mast ghata hai
Aisay main tum ajao tu peenay ka maza hai,

Tareek hai mahool ye har gaam khala hai
Aey jazba-e-shoq tu ne kahan chor dia hai,

Mahfil main khul na jaye kahin raaz-e-muhabbat
Wazdeedah nigaahon se koi dekh raha hai,

Allah ray us chehra-e-taaban ka wo jaadu
Har koi usay dekh kar deewana howa hai,

Roshan hain dilon ke daagh tu aankhain hain baa wuzo
Aey dost ye teri muhabbat ka sila hai....

Ye Bahaar ka Zamana...


Ye bahaar ka zamana ye haseen gulon ke saaye
Mujhay darr hai baaghban ko kahin neend aa na jaye,

Teray Wadon pe mera dil kab tak faraib khaa'e
Koi aisa kar kar bahana meri aas toot jaye,

Teri saazish-e-tawajjuh ye nahin tu aur kya hai
Main jahan chala samnbhal kar wahin paaon dagmagaye,

Khilay ab ke gulistaan main gul-e-naamuraad aisay
Na bahaar hi ne pocha na khizaan ke kaam aye,

Main nchala sharaab khanay jahan koi ghum nahin hai
Jisay dekhni ho jannat meray saath saath aye.....

Zulmat Ko Ghata..


Zulmat ko ghata kehnay se khatra nahi jata
Deewar se bhonchaal ko roka nahi jata,

Zaaton ke tarazo main Asmat nahin talti
Feetay se tu kirdar ko napa nahi jata,

Darya ke kinaray tu puhanch jatay hain piyasay
Piyason ke gharon ko tu darya nahi jata,

Wapas nahi hona hai tu paaon hi katado
Is morr se aagay koi rasta nahi jata,

Allah jisay chahay usay deta hai sab kuch
Izzat ko dukanon se kharida nahi jata...

Wo Dil Hi Kya...


Wo dil hi kya teray milnay ki jo dua na karay
Main tujh ko bhool kar zinda rahoon khuda na karay,

Rahayga pyar teray saath zindagi ban kar
Ye aur baat meri zindagi wafa na karay,

Ye theek hai nahin marta koi judai main
Khuda kisi ko kisi se magar juda na karay,

Agar wafa pe bharosa rahay na dunya main
Tu koi shakhs muhabbat ka hosla na karay,

Suna hai usko muhabbat duaaen deti hai
Jo dil pe chott tu khaye magar gila na karay,

Bujhay diya hai naseebon ne meray pyar ka chaand
Koi diya meri palkon pe ab jala na karay,

Zamana dekh chuka hai, parakh chuka hai usay
Qateel jaan se jaen par iltija na karay

Zindagi Kis Tarah...


Zindagi kis tarah bitaogay
Paas apnay jab humain na paogay,

Din main tanhaiyaan satayengi
Raat ko chonk kar uth jaogay,

Raat bhar neend kyon nahin ati
Tum ye khud bhi samajh na paogay,

Log pochaengay tanhai ka sabab
Kya chupaogay? kya bataogay,

Palkain har baar bheeg jayengi
Jab kabhi khul ke muskuraogay,

Meri yaayaadain bahut satayengi
Jab bhi baarish main bheeg jaogay,

Khud ko tanha na paa sakogay kabhi
Har jagah mera aks paogay,

Jab bhi chahay lout kar dekhna
Mujhko aisi hi mukhlis paogay.....

Hazaron Tarah...


Hazaron tarah apna dard hum unko sunatay hain
Magar tasweer ko har haal main tasweer patay hain,

Bujhaday ey hawa tund! Madfan ke chiraghon ko
Man'ia bakhti main ye ek badnuma dhabba lagatay hain,

Murattab kar gaya ek ishq ka qanoon dunya main
Wo deewanay hain jo majnon ko deewana banatay hain,

Usi mahfil se main rota howa aaya hoon aey Aasi!
Isharay main jahan lakhon muqaddar badlay jatay hain...

Doob Rahi Hain...


Doob Rahi Hain Saansain Magar Ye GumaaN Baaqi
Kisi Shakhs Ke Anne Ka Abhi ImkaaN Baaqi Hai


Muddat Hoyi Ek Shakhs Ko Bichrey Lekin
Aaj Tak Merey Dil Pe Ek NishaaN Baaqi Hai


Wo SayibaaN Chhen Gaya To Koi Gham Nahee
Abhi To Merey Sir Pe Ye AasmaaN Baaqi Hai


Kashti Zara Kinaarey Ke Qareeb Hi Rakhna
Biphri Hoyi Lehron Mein Abhi ToofaaN Baaqi Hai


Tumharey Hi Ashkon Ne Lab Si Diye Warna
Abhi To Merey Dukhoon Ki Bohut DaastaN Baaqi Hai


Ghamon Se Keh Do Ke Abhi Na Rakht-e-Safar BaandhaiN
Ke Abhi To Merey Jism Mein Kuch Aur JaaN Baaqi Hai


Ja Chukey Hain Sab Log Khamosh Parhi Hai Basti
Magar Kisi Aas Pe Ek Makeen-e-MakaaN Baaqi Hai

Ghum Se kaheen..


Gum se kaheen najaat mile chain paayein hum
dil khoon mein nahaae to gangaa nahaayein hum

jannat men jaayein hum ki jahannum mein jaayein hum
mil jaae tu kaheen na kaheen tujh ko paayein hum

mumkin hai ye ki waade pe apne wo aa bhi jaae
mushkil ye hai ki aap mein uss waqt aayein hum

naraaz ho khuda to karein bandgi se khush
maashooq rooth jaae to kyon kar manaayein hum

sar doston ke kaat kar rakkhe hain saamne
gairon se poochte hain qasam kis ki khaayein hum

ye jaan tum na loge agar aap jaayegi
iss bewafa ki khair kahaan tak manaayein hum

hum-saaye jaagte rahe naalon se raat bhar
soye huye naseeb ko kyon kar jagaayen hum

tu bhoolne ki cheez nahin khoob yaad rakh
ae "daagh" kis tarah tujhe dil se bhulaayein hum.

Kuch Is Tarah Se..


Kuch Iss Tarah Say Aaj Sataaya Gaya Mujhey
Maira Shikashta Dil Hi Dikhaaya Gaya Mujhey

Daikha Gaya Na Zabt Mairi Aankh Ka Kabhi
Zulm-o-Sitam Say Aaj Rulaaya Gaya Mujhey

Dil Tor Kar Maira Bhari Mehfil Ke Saamney
Rasn-e-Duniya Hai Ye, Bataaya Gaya Mujhey

Hum Ne Barrhaya Haath Ussey Apnaa Jaan Kar
Gairon Ko Apna Keh Ke, Jalaaya Gaya Mujhey

Jab Doobney Lage Thay Kinaarey Ke Paas Hum
To Door Say Safeena, Dikhaaya Gaya Mujhey

Kuch Door Humaray...


Kuchh duur hamaare saath chalo ham dil ki kahaani keh denge,
Samajhe na jise tum aankhon se wo baat zubaani keh denge,

Phoolon ki tarah jab honthon par ik shok tabassum bikharega,
Dheere se tumhaare kaanon mein ik baat puraani keh denge,

Izhaar-e-wafa tum kya samjho iqraar-e-wafa tum kya jaano,
Ham zikar karenge gairon ka aur apani kahaani keh denge,


Mausam tou bada hi zaalim hai toofaan uthaata rehta hai,
Kuch log magar is halachal ko badamast jawaani keh denge,

Samajhe na jise tum aankhon se wo baat zubaani keh denge,
Kuchh duur hamaare saath chalo ham dil ki kahaani keh denge

Meri Aankhon Ke...


Mairi aankhon key samandar main jalan kaisi hey
Aaj phir dil ko tarapney ki lagan kaisi hey

Ab kisi chhat pey chiragon ki qataarain bhi nahin
Ab terey shehar ki galiyon main ghutan kaisi hey

Barf key roop main dhal jaayen gey saarey rishtey
Mujh sey poochho key mohabbat ki agan kaisi hey

Main terey wasal ki khuwahish ko na marney doonga
Mausam – e - hijr key lehjey main thakan kaisi hey

Regzaron main jo bunt’ti rahi kaanton ki ridaa
Us ki majboor si aankhon main kiran kaisi hey

Mujhey masoom si larki pey taras aataa hey
Usey dekho to mohabbat main magan kaisi he