Muhabbat Aur Kahani

Tumhein Kaisy Batayein Hum
Muhabbat Aur Kahani Mein Koi Rishta Nahi Hota
Kahani Mein
To Hum Wapis bhi Atay Hain
Muhabbat Mein Palatney Ka Koi
Rasta Nahi Hota
Zara Socho!
Kabhi Dil Mein Kharashein Daltii Yaadon Ki Saffakii
Kabhi Daman Se Liptii Hay
Kisi Bhooli Hui Saa'at Ki NumNaaki
Mujhay Dekho...
Mery Chehrey Par Kitnay Mausamon Ki Gard Hay
Aur Iss Gard Ki Teh Mein
Samay Ki Dhoop Mein Rakha Hua Ek Aayina
Aur Aayiney Mein Taa Hadd-e-Nazar Tak Phaily
Muhabbat ke Sitarey Aks Ban Kar Jhilmilatey Hain
Nayii Duniyaoon Ka Rasta Batatey Hain
Lakeeron Mein Kahani Hay
Kahani Aur Muhabbat Mein Azal Se Jung Jari Hay
Muhabbat Mein Ek Aisa Morr Ata Hay
Jahan Aa Kar Kahani Haar Jati Hay
Kahani Mein To Kuch Kirdaar Hum
Khud Farz Kartay Hain
Muhabbat Mein Koi Kirdaar bhi
Farzii Nahi Hota
Kahani Ko Kayii Kirdaar
Mil Jul Kar Kahin Aagay Chalatey Hain
Muhabbat Apney Kirdaron Ko Khud
Aagay Barhatii Hay
Kahani Mein Kayii Kirdaar Zinda Hi Nahi Rehtay
Muhabbat Apney Kirdaron Ko Marney Hi Nahi Deti
Kahani ke Safar Mein
Manzaron Ki Dhool Urrti Hay
Muhabbat Ki Musafat RaahGeeron Ko
Bikharney Hi Nahi Deti
Muhabbat Ik Shajar Hay
Aur Shajar Ko Iss Se Kya Matlub
ke Iss ke Saye Mein Jo bhi Thaka Haara
Musafir Aa ke Baitha Hay
Ab Iss Ki Nasl Kya Hay, Rung Kaisa Hay
Kahan Se Aaya Hay Kis Simt Jana Hay
Shajar Ka Kaam To Bas Chhaon Dena
Dhoop Sehna Hay
Isay Iss Se Garaz Kya Hay
Parrao Dalney Walon Mein Kis Ne
Chhaon Ki Taqseem Ka Jhagrra Uthaya Hay
Kahan Kis Ehad Ko Torra,
Kahan Waada Nibhaya Hay
Magar Hum Jantey Hain
Chhaon Jab Taqseem Ho Jaye
To Aksar Dhoop ki Naizey
Rag-o-Pay Mein Utartey Hain
Aur Iss k Zakhm Khurda Log
Jeetay Hain Na Martay Hain...!!!

0 comments: