Zulmat Ko Ghata..


Zulmat ko ghata kehnay se khatra nahi jata
Deewar se bhonchaal ko roka nahi jata,

Zaaton ke tarazo main Asmat nahin talti
Feetay se tu kirdar ko napa nahi jata,

Darya ke kinaray tu puhanch jatay hain piyasay
Piyason ke gharon ko tu darya nahi jata,

Wapas nahi hona hai tu paaon hi katado
Is morr se aagay koi rasta nahi jata,

Allah jisay chahay usay deta hai sab kuch
Izzat ko dukanon se kharida nahi jata...

0 comments: