Showing posts with label Qateel Shifai. Show all posts
Showing posts with label Qateel Shifai. Show all posts

Dunya Ne

duniya ne ham pe jab koi ilzaam rakh diya
ham ne muqaabil us ke tera naam rakh diya

ik Khaas had pe aa gai jab teri berukhi
naam us ka ham ne gardish-e-ayyaam rakh diya

main larkharaa raha hoon tujhe dekh dekh kar
tune to mere saamne ik jaam rakh diya

kitna sitam zarf hai vo saahib-e-jamaal
us ne diya jala ke lab-e-baam rakh diya

insaan aur dekhe baghair us ko maan lay
ik Khauf ka bashar ne Khuda naam rakh diya

ab jis ke jii mein aaye wahi paaye raushani
ham ne to dil jalaa ke sar-e-aam rakh diya

kya maslahat shanaas tha wo aadami 'Qateel'
majabooriyon ka jis ne wafa naam rakh diya 

Wo Dil Hi Kya...


Wo dil hi kya teray milnay ki jo dua na karay
Main tujh ko bhool kar zinda rahoon khuda na karay,

Rahayga pyar teray saath zindagi ban kar
Ye aur baat meri zindagi wafa na karay,

Ye theek hai nahin marta koi judai main
Khuda kisi ko kisi se magar juda na karay,

Agar wafa pe bharosa rahay na dunya main
Tu koi shakhs muhabbat ka hosla na karay,

Suna hai usko muhabbat duaaen deti hai
Jo dil pe chott tu khaye magar gila na karay,

Bujhay diya hai naseebon ne meray pyar ka chaand
Koi diya meri palkon pe ab jala na karay,

Zamana dekh chuka hai, parakh chuka hai usay
Qateel jaan se jaen par iltija na karay

Raabta Laakh Sahi..

Raabta laakh sahi qaafla saalar ke saath
Hum ko chalna hai magar waqt ki raftar ke saath,

Ghum lagay rehtay har aan khushi ke peechay
Dushmani dhoop ki hai saaya-e-deewar ke saath,

Kis tarah apni muhabbat ki main takmeel karoon
Ghum-e-hasti bhi tu shaamil hai ghum-e-yaar ke saath,

Lafz chunta hoon tu mafhoom badal jata hai
Ek na ek khof bhi hai jurrat-e-izhaar ke saath,

Baksh de mujhko bhi aezaaz-e-maseeh-o-manzoor
Main ne bhi pyar kiya hai rasn-o-daar ke saath,

Dushmani mujh se kayay ja magar apna ban kar
Jaan lay lay meri, Sayyad! Magar pyar ke saath....

By: Qateel Shifai