Gum se kaheen najaat mile chain paayein hum
dil khoon mein nahaae to gangaa nahaayein hum
jannat men jaayein hum ki jahannum mein jaayein hum
mil jaae tu kaheen na kaheen tujh ko paayein hum
mumkin hai ye ki waade pe apne wo aa bhi jaae
mushkil ye hai ki aap mein uss waqt aayein hum
naraaz ho khuda to karein bandgi se khush
maashooq rooth jaae to kyon kar manaayein hum
sar doston ke kaat kar rakkhe hain saamne
gairon se poochte hain qasam kis ki khaayein hum
ye jaan tum na loge agar aap jaayegi
iss bewafa ki khair kahaan tak manaayein hum
hum-saaye jaagte rahe naalon se raat bhar
soye huye naseeb ko kyon kar jagaayen hum
tu bhoolne ki cheez nahin khoob yaad rakh
ae "daagh" kis tarah tujhe dil se bhulaayein hum.
0 comments:
Post a Comment