Showing posts with label daagh. Show all posts
Showing posts with label daagh. Show all posts

Agar Kabhi Mairi Yaad Aye

Ye Bahaar ka Zamana...


Ye bahaar ka zamana ye haseen gulon ke saaye
Mujhay darr hai baaghban ko kahin neend aa na jaye,

Teray Wadon pe mera dil kab tak faraib khaa'e
Koi aisa kar kar bahana meri aas toot jaye,

Teri saazish-e-tawajjuh ye nahin tu aur kya hai
Main jahan chala samnbhal kar wahin paaon dagmagaye,

Khilay ab ke gulistaan main gul-e-naamuraad aisay
Na bahaar hi ne pocha na khizaan ke kaam aye,

Main nchala sharaab khanay jahan koi ghum nahin hai
Jisay dekhni ho jannat meray saath saath aye.....

Ghum Se kaheen..


Gum se kaheen najaat mile chain paayein hum
dil khoon mein nahaae to gangaa nahaayein hum

jannat men jaayein hum ki jahannum mein jaayein hum
mil jaae tu kaheen na kaheen tujh ko paayein hum

mumkin hai ye ki waade pe apne wo aa bhi jaae
mushkil ye hai ki aap mein uss waqt aayein hum

naraaz ho khuda to karein bandgi se khush
maashooq rooth jaae to kyon kar manaayein hum

sar doston ke kaat kar rakkhe hain saamne
gairon se poochte hain qasam kis ki khaayein hum

ye jaan tum na loge agar aap jaayegi
iss bewafa ki khair kahaan tak manaayein hum

hum-saaye jaagte rahe naalon se raat bhar
soye huye naseeb ko kyon kar jagaayen hum

tu bhoolne ki cheez nahin khoob yaad rakh
ae "daagh" kis tarah tujhe dil se bhulaayein hum.