Showing posts with label Aatish Ali Haider. Show all posts
Showing posts with label Aatish Ali Haider. Show all posts

Bus Main Aur Tum...

Aao Kahin Door Chalen
Jahan Koi Na ho Humare Siwa Sirf
Main or Tum
Jahan Kuch Wadde Kar saken
Jahan Kuch Qasmeen Kha Saken
Jahan Koi Naghma Gunguna Saken
Dhemee Dhemee Madhum Madhum
Main or Tum
Bohat Sari Baateen Karni hai Mujh ko
Bohat Kuhc Kehna hai Tum ne
Bohat Si Uljhaneen Dorr Karni hain
Galat Fehmiyaan Khutum krani hain
Tumhare SHikwe, tumhari Shikayateen
Jin k Jawab dene hain
Azala To Karna hai un ka
Jo Dhaye hain tumhare Dil per Situm
Main or Tum
Jahan Hariyaali ho Her simat
Jahan Bondeen Naye Khuwaboon ko Ahhat deen
Jahan ka Mosam Chehroon ko Muskurahat Deen
Ho jaye Jahan Gum Sum
Main or Tum
Bas Main or Tum

Sharaf Bakhsha...


Sharaf bakhsha gohr ko sirf kar ke tu ne zaywar main
Nageen ko naam ne teray bithaya khana zar main,

Ye kefyat usay milti hai ho jis ke muqaddar main
Ma'e ulfat na kham main hai na sheeshay main na saaghar main,

Raha karta hai nazam sha'ir ka soada meray sar main
Uroos-e-fikr in roz ladi rehti hai zaywar main,

Meray weeranay ki hud main kabhi urr kar jo aa niklay
Pilaon chaghad ko paani huma ki kasa sar main,

Sharaf Allah ne bakhsha hai Aadam par Muhammad ko
Fazeelat hai muqaddam se ziyada yaan muakh'ar main,

Jahan chahay basar auwqaat kar lay chaar din bulbul
Chaman main aashyana hai qafas sayyad ke ghar main,

Khuda chahay tu naalon se meray pighlay dil is baat ka
Ye shaan uski hai narmi mom ki payda ho pathar main,

Lub la'lain ko teray wasl ki shub hum ne chosa hai
Na hoon gay tishnagi se hont apnay khushk mahshar main,

Wo tark chashm dekhain mulk dil gharat karay kis ka
Raha karti hai suf bandi bahut muzgaan ke lashkar main,

Darata hai bahut rindoon ko zikr naar-o-dawzakh se
Tamasha ho jalay waa'iz Lag uthay aah minmbar main,

Ye raah-o-rasm khud been haseenon main hai muddat se
Khilay thay jo har aaienay ke ehd-e-sikandar main,

Khayal aata hai jannat ka tu aankhon main hain phir jaati
Wo shahad-o-sheer ki nahrain Zameen mushk-o-anmbar main,

Qana'at di hai misl-e-qabr mujhko khaaksaari ne
Rahoon ga baagh baagh Aatish main ek phoolon ki chada main....

Fikr Main...


Fikr main mazmoon-e-aali ki jo dil aamada ho
Dast basta baam par hai har sar-o-qad ustaada ho,

Phir bhi waqt fikr hum baandhain hinaye dast-e-yaar
Laakh ye mazmoon rangeen paish paa uftaada ho,

Ishq payda kar kisi mastaana aankhon ka dila
Khana-e-taareek main roshan chiraagh baada ho,

Aastaan dair tak jaaway tu aey ka'ba nasheen
Parda baab-e-sanam khana-e-tar sajjaada ho,

Ishq honay main nahin adnaa-o-aa'la ki tameez
Khoobsurat ho gada ya koi shahzaada ho,

Aashna chashm sukhandaan se rahay mera kalam
Manzil-e-maqsood ki har satar deewaan jaada ho,

Sabz payrahan main rung surkh yun hai yaar ka
Jesay meenaye zumurd goon main gulgoon baada ho,

Khasht rakh kar zair-e-sar sona hai khaak gor par
Saahib-e-masnad ho tum Ya sahab-e-sajjaada ho,

Khaar payda hoon na jis jaa Gul shagufta hoon wahin
Aasman us ko bana doon Jo zameen uftaada ho,

Farsh-e-sabza par lub jo mujhko peeni hai sharab
Khaima-e-abr-e-siya aey aasman ustaada ho,

Paon rakhta hai jo Aatish koocha-e-jallaad main
Zindagi se haath dhokar marg ko aamada ho.....

Fasl-e-Gul Hai....


Fasl-e-gul hai, loot lay kayfyat-e-me'khana aaj
Dawlat-e-saaqi se mala maal hai pemana aaj,

Teray koochay ka hai aey khana kharab afsana aaj
Shaikh ka'ba chorta hai Barahman butkhana aaj,

Wasl ki shub hai andhairay ka hai wa'da yaar se
Shama ka hota nahin mumkin kahan parwaana aaj,

Jaan se bayzaar hoon ek shama ro ke ishq main
Saath lay kar mujhko kooday aag main parwana aaj,

Mujh se darya nosh ko saaqi pilata hai sharab
Dekta hoon main bhi zarf sheesha-o-paymana aaj,

Zulf ko latkatay hain rukhsaar par so so tarah
Aaina unka masahib hai muqarrab shana aaj,

Kal humara aur uska imtihaan hojaye ga
Aashnai ka teray dum tu bharay baygaana aaj,

Arsh par hai in dinon main ahl-e-dunya ka dimaagh
Koun sa ghar hai nahin jis main hai baala khana aaj,

Chashm-e-wahdat been main apni naik-o-bad donon hain ek
Garg-o-yosuf se barabar hai humain yarana aaj,

Naza ki mushki bhi aasan hoti hai Aatish na darr
Shaah mardaan se talab kar himmat-e-mardaana aaj....

Khana Kharab...


Khana kharab naalon ki bal bay shararatain
Behti hain paani ho ho ke sangeen imaaratain,

Sar koun sa hai jis main ke soda nahin tera
Hoti hain teray naqsh qadam ki ziyaratain,

Deedar-e-yaar barq-e-tajalli se kam nahin
Band aankhain hoon gi daingi duaeen basaratain,

Goya zubaan ho teray shukar aadmi
Samjhay jo to tu kartay hain ye gang isharatain,

Zair-e-zameen bhi yaad hain haft aasman ke zulm
Bhoola nahin main sung dilon ki shararatain,

Baaqi rahay ga naam humara nishaan ke saath
Abhi bhi ke chand beeteen hain apni imaaratain,

Naqsh-o-nigaar-e-husn butaan ka na kha faraib
Matlab se khali jaan lay tu ye ibaaratain,

Aashiq hain hum ko madd-e-naza koo-e-yaar hai
Ka'bay ki haajiyon ko mubarak ziyaratain,

Aatish ye shash jahat hai magar koocha yaar ka
Chaaron taraf se hoti hain hum par isharatain....

Wo Bazm Hai....

Wo bazm hai ke lakhair ka muqaam nahin
Humaray gunjfay main baazi ghulam nahin,

Buton ke gaiso-o-mazgaan se mujhko kaam nahin
Shikaar teer nahin hain Ameer daam nahin,

Chaman se bulbul-o-qumri ka ish herat hai
Sabat gul ko nahin saro ko qayaam nahin,

Wafaye wa'da ka kis ko yaqeen yaar se hai
Kalaam but hai kuch Allah ka kalaam nahin,

Rafeeq-e-haal buray waqt main nahin koi
Shareek jung main shamshir ka nayaam nahin,

Gada-o-shaah barabar hai khaak ke neechay
Lahad main saath ye qasar buland baam nahin,

Milaya khaak main kis kis jawaan ra'na ko
Khuda ka qaher hai aey but tera kharam nahin,

Butoon ke qaher-o-ghazab ka kisay hia andesha
Khuda nahin ye payambar nahin imaam nahin,

Buland ho na zameense mera mazaar Aatish
Nishaan-e-qabr se manzoor mujh ko naam nahin.....

Chaman Main...

Chaman main rehnay de koun aashyaan nahin ma'loom
Nihaal kis ko karay baaghbaan nahin ma'loom,

Meray sanam ka kisi ko makaan nahin ma'loom
Khuda ka naam suna hai nishaan nahin ma'loom,

Akheer hogaye ghaflat main din jawani ke
Bahar-e-umr hui kab khazaan nahin ma'loom,

Sapurd kis ke meray ba;d ho amanat-e-ishq
Uthaye koun ye baar guraan nahin ma'loom,

Mila tha khizr ko kis tarah chashma haiwaan
Humain tu yaar ka apnay wahan nahin ma'loom,

Khuli hai khana sayyaad main humari aankh
Qafas ko jaantay hain aashyaan nahin ma'loom,

Rasaai jis ki nahin aey sanam dar-e-dil tak
Yaqeen hai usko tera aastaan nahin ma'loom,

Chutaingay zeest ke phanday se kis din aey Aatish
Janaza hoga kab apna rawaan nahin ma'loom......

Barghashta Taala'i....

Barghashta Taala'i ka tamasha dikhaon main
Ghar ko lagay jo aag tu pani bujhaon main,

Lala rukhon ke husn ka bhoka hoon is qadar
Dil ho na sair laakh agar daagh khaon main,

Murday ki tarah sotay hain kesay meray naseeb
Thokar se paa-e-yaar ke in ko jagaon main,

Ji chahta hai shoq-e-shahadat main qbl-e-murg
Banwa ke qabr lala ko us par lagaon main,

Kaanta sikha ke hijr ne har chand kardiya
Wo gulbadan milay tu na phola samaon main,

Tum tu ghareeb khanay main aaye na ek roz
Farmaayiye tu shub ko kisi waqt aaon main,

Bareek been hoon sha'ir-e-naazuk khayal hoon
Mazmoon jahan kamar ka milay baandh laaon main,

Aatish ghulam saaqi-e-kousar hoon chahiye
Firdous ka khula howa darwaza paon main.....

Mumkin Nahin Hai...

Mumkin nahin hai dosta tujh sa hazaar main
Hota hai ek bahisht ka daana anar main,

Kya kya gulon ne kaan apnay kharay kiye
Aamad ko sun ke yaar ki fasl-e-bahaar main,

Aey tufl tab se shoq-e-hum aaghoshi hai humain
Gehwaara jab ke rakhta tha tujh ko kanaar main,

Keh day koi ye meray taghaaful shu'aar se
Wa'da khilafi laati hai farq aetebar main,

Aaya wo mehrawish jo shub-e-juma qabr par
Din ki roshni hui gunj-e-mazar main,

Jaam-e-sharab-e-ishq se donon hain bay khabar
Bulbul chaman mainmast hai hum koo-e-yaar main,

Phirta hoon pherta hai wo parda nasheen jidher
Putli ki tarah se nahin main ikhtiyaar main,

Barbaad horahi hai kuch Aatish tumhain nahin
Matti kharab apni bhi hai is dayaar main......

Khismageen Aankhain...

Khishmageen aankhain tumhari aafat-e-jaan hogaen
Birchiyaan aashiq kashi karnay ko mazgaan hogaen,

Tum jo ja niklay naseem bahari ki tarah
Phool khil khil kar gul-o-laala ki kalyaan hogaen,

Saamnay rahnay laga rukhsaar zebaye yaar
Surat aaina aankhain apni hairaan hogaen,

Mehndi haathon main mili tu ne jo aey daryaaye husn
Ungliyaan rung-e-hina se shaakh marjaan hogaen,

Khana dil main tasawwur khush jamalon ka raha
Gaah hoorain, gaah paryaan, apni mehmaan hogaen,

Koocha gardi main dikhai tegh qaatil ne bahaar
Bismilon se shahar ki kalyan gulistaan hogaen,

Ye khila Aatish anaasir se dil-e-deewana ko
Chaar deewarain ikhatti ho ke zindaan hogaen....

Dargaah Main Kareem...

Dargaah main kareem ke hai iltija qubool
Dast-e-dua buland tu kar hai dua qubool,

Shub ko kaha jo aao tu bola wo mahrawish
Hoti nahin muhaal talab ki dua qubool,

Ye waqt lah-o-la'ab main khoday na aadmi
Karta hai bandagi ko jo unki khuda qubool,

Aisa asar ziyaan main meri aey kareem de
Jo kuch kahoon, kahay wo meray dilruba Qubool,

Wo log hain jo dard muhabbat se aashna
Karti nahin hai unki tabeeat dawa qubool,

Aalim se kuch gharz nahin aey jaan-e-jaan humain
Dil ko nahin hai koi tumharay siwa qubool,

Kehnay ko meray yaar jo maanay tu kya ajab
Kartay hain aashna sukhan aashna qubool....

Dhalti Hai...

Dhalti hai aashiqana humari ghazal tamam
Chaye howe hain koo-e-firangi mahal tamam,

Zaib kanara atr wo mil kar howe thay shub
Ab tak mehak rahi hai humari baghal tamam,

Shanay ka kaam lijiye gustaakh haath se
Naakhun se zulf-e-yaar ke aqday hoon hal tamam,

Kyonkar karain na naaz wo husn-o-jamal par
Kabr-o-ghuroor rakhtay hain ahl-e-duwal tamam,

Aala ke dil lubhatay hain khaal rukh-e-Habeeb
Samjhay hain apnay hissay main bhonray kanwal tamam,

Aatish ki fikr khodti hai aey zameen Shair
Gunj nihaan hain jitnay ke tujh main ugal tamam....

Ghairat-e-Mehr...


Ghairat-e-mehr rashk maah ho tum
Khoobsurat ho baadshah ho tum,

Jis ne dekha tumhain wo mar hi gaya
Husn ki taigh be panah ho tum,

Husn main aap ke hai shan-e-khuda
Ishq baazon ki sajda gaah ho tum,

Foq hai saray khush jamalon par
Wo sitaray jo hain tu maah ho tum,

Hum se parda wohi hijab ka hai
Kocha garoon se robaro ho tum,

Kyon muhabbat barhai thi tum se
Hum unahgaar begunaah ho tum.....

Muhabbat Koriyon Ki Ho...

Muhabbat ko koriyon ki ho agar mol
Nabi Aadam na lay ye dard-e-sar mol,

Lab-o-dandaan yumharay bay baha hain
Nahin rakhtay hain ye la'l-o-gohar mol,

Uthai aankh tumnay mar gaye haum
Humari jaan ki thi ek nazar mol,

Ajab dawlat hai ye ehsaan us se
Bashar ko bhi hai le leta bashar mol

Iwaz main dil ke bosa day ke hum ko
Khuda ka lay liya us but ne ghar mol,

Ye husn-e-yaar ne qeemat barhai
Na tha yosuf ka warna is qadar mol,

Bharosa zindagaani ka tumhain kuch
Kafan lay rakhtay aey Aatish bashar mol.....

Puhncha Saza Ko Apni....

Puhncha saza ko apni hai baydaar magar kahan
Dazad hina charhaya gaya daar par kahan,

Daagh-e-jigar mita na saki aah subh gaah
Gul karti hai chiraagh naseem-e-sehar kahan,

Loon bosa kis ka hai dahen-e-yaar na paid
Kis ke hoon haath toq wo naazuk kamar kahan,

Aaina dekhnay ka guzarta nahin khayal
Apni khabar nahin unhain meri khabar kahan,

Khirmaaye lub ke bosay ka chakna nahin maza
Tora hai nakhl-e-husn ka num ne samar kahan,

Dum kya bharay ga koi muhabbat ka yaar ki
Mera sa di kahan hai mera sa jigar kahan,

Qed khudi se choot ke jaagi hai gor main
Aatish mila hai gunmbad gardaan ka dar kahan...

Umr-e-Do Roza...

Umr-e-do roza hi main hazaron na khaye gul
Ba'd-e-fana bhi khaak ne meri khilaye gul,

Sunta hai koun naala-o-faryad andaleeb
Madhosh hai chaman main payala charhaye gul,

Wa'da wisaal ka hai andhairay main gor ke
Shama hayat jald jaheen ho bhi jaye gul,

Rafa hijab-e-yaar kya aah sard ne
Kholay naseem subh ne band qabaye gul,

Waan lab melay raqeeb se Yaan dam nikal gaya
Miqraaz taar umr howe barg haaye gul,

Aey andaleeb tujh ko mubarak tera chaman
Kis ke mizaj se hai mawafiq hawaye gul,

Aatish baqol misra soda gharz nahin'
Yak dast agar zamana jahan lutaye gul....

Kijiye Saabit....

Kijiye saabit dahaan roo-e-rashk maah ko
Kaan muddat se suna kartay hain is afwaah ko,

Koocha-e-mehboob main aankh ne apni baar ha
Surmay ki qeemat liya hai mol gard raah ko,

Hum faqeeron ko tamanna hai yehi aey shaah-e-husn
Jhaartay jarob muzgaan se teri dargaah ko,

Barhaman haasil hai tujhko jis tarah but ka huzoor
Is tarah paaon main tu phir choron na main Allah ko,

Fikr-e-rangeen ne tumhain muflis kiya tu kya ajab
Ye uroos Aatish gada kardeti hai noshaah ko.....

Dard-e-Dil...

Dard-e-dil ka jo kaha main ne fasana shub-e-wisaal
Neend aanay ka howa usko bahana shub-e-wisaal,

Hasrat-e-jalwa deedar bahut hai mujhko
Chahiye meray liye aaina khana shub-e-wisaal,

Subh hotay howe us but ne qadam ranja kiya
Na raha shukr-o-shikayat ka zamana shub-e-wisaal,

Yaar kya mujhko mila dawlat-e-paa'inda mili
Haarh aaya meray Qaroon ka khazana shub-e-wisaal....

Ye Aarzu Thi...

Ye aarzu thi tujhe gul ke ro-ba-ro karte
Ham aur bulbul-e-betaab guftagu karte

Payaam bar na mayassar howa to Khoob howa
Zabaan-e-Ghair se kya shar ki aarzu karte

Meri tarah se maah-o-mahar bhii hain aawara
Kisi habeeb ko ye bhi hain justaju karte

Jo dekhte teri zanjeer-e-zulf ka aalam
Aseer hone ke azad aarzu karte

Na pooch aalam-e-baragashtaa taali-e-"Aatish"
Barsati aag mein jo baaraan ki aarzu karte...

Sun Tu Sahi...

Sun to sahi jahaan mein hai tera fasaanaa kya
Kahti hai tujh se Khalq-e-Khuda Gha'ibanaa kya

Zeenaa saba ka dhoondti hai apani musht-e-Khaak
Baam-e-baland yaar ka hai astana kya

Aati hai kis tarah se meri kabz-e-rooh ko
Dekhon to maut dhoond rahi hai bahana kya

Betaab hai kamaal hamara dil-e-azeem
Mehmaan saraay-e-jism kaa hoga rawanaa kya...