Chaman Main...

Chaman main rehnay de koun aashyaan nahin ma'loom
Nihaal kis ko karay baaghbaan nahin ma'loom,

Meray sanam ka kisi ko makaan nahin ma'loom
Khuda ka naam suna hai nishaan nahin ma'loom,

Akheer hogaye ghaflat main din jawani ke
Bahar-e-umr hui kab khazaan nahin ma'loom,

Sapurd kis ke meray ba;d ho amanat-e-ishq
Uthaye koun ye baar guraan nahin ma'loom,

Mila tha khizr ko kis tarah chashma haiwaan
Humain tu yaar ka apnay wahan nahin ma'loom,

Khuli hai khana sayyaad main humari aankh
Qafas ko jaantay hain aashyaan nahin ma'loom,

Rasaai jis ki nahin aey sanam dar-e-dil tak
Yaqeen hai usko tera aastaan nahin ma'loom,

Chutaingay zeest ke phanday se kis din aey Aatish
Janaza hoga kab apna rawaan nahin ma'loom......

0 comments: