Fasl-e-gul hai, loot lay kayfyat-e-me'khana aaj
Dawlat-e-saaqi se mala maal hai pemana aaj,
Teray koochay ka hai aey khana kharab afsana aaj
Shaikh ka'ba chorta hai Barahman butkhana aaj,
Wasl ki shub hai andhairay ka hai wa'da yaar se
Shama ka hota nahin mumkin kahan parwaana aaj,
Jaan se bayzaar hoon ek shama ro ke ishq main
Saath lay kar mujhko kooday aag main parwana aaj,
Mujh se darya nosh ko saaqi pilata hai sharab
Dekta hoon main bhi zarf sheesha-o-paymana aaj,
Zulf ko latkatay hain rukhsaar par so so tarah
Aaina unka masahib hai muqarrab shana aaj,
Kal humara aur uska imtihaan hojaye ga
Aashnai ka teray dum tu bharay baygaana aaj,
Arsh par hai in dinon main ahl-e-dunya ka dimaagh
Koun sa ghar hai nahin jis main hai baala khana aaj,
Chashm-e-wahdat been main apni naik-o-bad donon hain ek
Garg-o-yosuf se barabar hai humain yarana aaj,
Naza ki mushki bhi aasan hoti hai Aatish na darr
Shaah mardaan se talab kar himmat-e-mardaana aaj....

0 comments:
Post a Comment