Fikr main mazmoon-e-aali ki jo dil aamada ho
Dast basta baam par hai har sar-o-qad ustaada ho,
Phir bhi waqt fikr hum baandhain hinaye dast-e-yaar
Laakh ye mazmoon rangeen paish paa uftaada ho,
Ishq payda kar kisi mastaana aankhon ka dila
Khana-e-taareek main roshan chiraagh baada ho,
Aastaan dair tak jaaway tu aey ka'ba nasheen
Parda baab-e-sanam khana-e-tar sajjaada ho,
Ishq honay main nahin adnaa-o-aa'la ki tameez
Khoobsurat ho gada ya koi shahzaada ho,
Aashna chashm sukhandaan se rahay mera kalam
Manzil-e-maqsood ki har satar deewaan jaada ho,
Sabz payrahan main rung surkh yun hai yaar ka
Jesay meenaye zumurd goon main gulgoon baada ho,
Khasht rakh kar zair-e-sar sona hai khaak gor par
Saahib-e-masnad ho tum Ya sahab-e-sajjaada ho,
Khaar payda hoon na jis jaa Gul shagufta hoon wahin
Aasman us ko bana doon Jo zameen uftaada ho,
Farsh-e-sabza par lub jo mujhko peeni hai sharab
Khaima-e-abr-e-siya aey aasman ustaada ho,
Paon rakhta hai jo Aatish koocha-e-jallaad main
Zindagi se haath dhokar marg ko aamada ho.....

0 comments:
Post a Comment