Sharaf bakhsha gohr ko sirf kar ke tu ne zaywar main
Nageen ko naam ne teray bithaya khana zar main,
Ye kefyat usay milti hai ho jis ke muqaddar main
Ma'e ulfat na kham main hai na sheeshay main na saaghar main,
Raha karta hai nazam sha'ir ka soada meray sar main
Uroos-e-fikr in roz ladi rehti hai zaywar main,
Meray weeranay ki hud main kabhi urr kar jo aa niklay
Pilaon chaghad ko paani huma ki kasa sar main,
Sharaf Allah ne bakhsha hai Aadam par Muhammad ko
Fazeelat hai muqaddam se ziyada yaan muakh'ar main,
Jahan chahay basar auwqaat kar lay chaar din bulbul
Chaman main aashyana hai qafas sayyad ke ghar main,
Khuda chahay tu naalon se meray pighlay dil is baat ka
Ye shaan uski hai narmi mom ki payda ho pathar main,
Lub la'lain ko teray wasl ki shub hum ne chosa hai
Na hoon gay tishnagi se hont apnay khushk mahshar main,
Wo tark chashm dekhain mulk dil gharat karay kis ka
Raha karti hai suf bandi bahut muzgaan ke lashkar main,
Darata hai bahut rindoon ko zikr naar-o-dawzakh se
Tamasha ho jalay waa'iz Lag uthay aah minmbar main,
Ye raah-o-rasm khud been haseenon main hai muddat se
Khilay thay jo har aaienay ke ehd-e-sikandar main,
Khayal aata hai jannat ka tu aankhon main hain phir jaati
Wo shahad-o-sheer ki nahrain Zameen mushk-o-anmbar main,
Qana'at di hai misl-e-qabr mujhko khaaksaari ne
Rahoon ga baagh baagh Aatish main ek phoolon ki chada main....

0 comments:
Post a Comment