Mumkin Nahin Hai...

Mumkin nahin hai dosta tujh sa hazaar main
Hota hai ek bahisht ka daana anar main,

Kya kya gulon ne kaan apnay kharay kiye
Aamad ko sun ke yaar ki fasl-e-bahaar main,

Aey tufl tab se shoq-e-hum aaghoshi hai humain
Gehwaara jab ke rakhta tha tujh ko kanaar main,

Keh day koi ye meray taghaaful shu'aar se
Wa'da khilafi laati hai farq aetebar main,

Aaya wo mehrawish jo shub-e-juma qabr par
Din ki roshni hui gunj-e-mazar main,

Jaam-e-sharab-e-ishq se donon hain bay khabar
Bulbul chaman mainmast hai hum koo-e-yaar main,

Phirta hoon pherta hai wo parda nasheen jidher
Putli ki tarah se nahin main ikhtiyaar main,

Barbaad horahi hai kuch Aatish tumhain nahin
Matti kharab apni bhi hai is dayaar main......

0 comments: