Showing posts with label Tassawor. Show all posts
Showing posts with label Tassawor. Show all posts

Nazar Jab Tumse

Nazar Jab Tum Say Milti Hai Main Khud Ko Bhool Jata Hoon
Bus Ek Dharkan Dharakti Dharakti Hai
Main Khud Ko Bhool Jata Hoon


Tumhain Milnay Say Pehlay Main Bahoat Sajta Sanwarta Hoon
Magar Jab Tum Sanwarte Ho Main Khud Ko Bhool Jata Hoon


Tum Gum Hotay Ho Siochon Main Main Takta Hi To Rehta Hoon
Jo Tum Pehlu Badaltay Ho Main Khud Ko Bhool Jata Hoon


Main Aksar Hi Yeh Kehta Hoon Main Tum Say Pyar Karta Hoon
Magar Jab Tum Yeh Kehtay Ho Main Khud Ko Bhool Jata Hoon...
 

Jis Samt Bhi Dekhun


Jis samt bhi dekhoon nazar aata hai k tum ho !
Aai jaan-e-jahaa(n) ! ye koi tum sa hai k tum ho !

Ye khwaab hai, khushbu hai k jhaunka hai k pal hai
Ye dhund hai, baadal hai k saaya hai k tum ho !

Is deed ki saa'at mein kaee rang hain larzaa(n)
Main hoon k koi aur hai, duniya hai k tum ho !

Dekho ye kisi aur ki aankhein hain k meri !
Dekhoon ye kisi aur ka chehra hai k tum ho !

Ye umr-e-gurezaa(n) kahin tthehre to ye jaanoon
Har saans mein mujh ko yehi lagta hai k tum ho !

Har bazm mein mauzu-e-sukhan, dil-zadgaa(n) ka
Ab kaun hai, Sheereen hai k Laila hai k tum ho !

Ik dard ka phaila hua sehra hai k main hoon !
Ik mauj mein aaya hua darya hai k tum ho !

Wo waqt na aaye k dil-e-zaar bhi soche
Is shehr mein tanha koi ham sa hai k tum ho !

Aabaad ham aashufta-saron se nahi maqtal
Ye rasm bhi is shehr mein zinda hai k tum ho

Aai jaan-e-Faraaz ! itni bhi taufeeq kise thi
Ham ko gham-e-hasti bhi gavaara hai k tum ho !

Chehray Parhta...


cherey perhta, aankhain likhta rehta hoon
main bhi kaise batain likhta rehta hoon ?

saray jism darakhtoon jaise lagtay hain
aur bahoon ko shakhain likhta rehta hoon

tujh ko khat likhnay ke taiwar bhool gia
aarhi tirchi satrain likhta rehta hoon

tere hijr main aur mujhe kia kerna hai
tere naam kitabain likhta rehta hoon

tujh se mill ker saray dukh dohraoon ga
hijr ki sari batain likhta rehta hoon

sookhay phool, kitabain, zakham judai ke
teri sab soghatain likhta rehta hoon

us ki bheegi palkain hansti rehti hain
MOHSIN jab tuk ghazlain likhta rehta hoon

Main Aisi Muhabbat...

Soch Ka Samandar...


Soch Ke Gehrey Samander Mein Utar Jaoon Ga Main
Doob Jaoon Ga Tahon Mein Yaa Nikhar Jaoon Ga Main

Umar Bhar Ki Kashmakash Ka Hai Yehi Sila
Chin Gayi Mujh Say Anaa Mairi To Mar Jaoon Ga Main

Mainey Uss Ke Gird Apni Zaat Ke Jaaley Buney
Torr Ker Unn Ko Woh Nikla To Bikhar Jaoon Ga Main

Keencha Hai Aarzoo Ko Maslehat Ki Raah Per
Kaam Sar Anjam Dey Loon To Ghar Jaoon Ga Main

Main Andheron Ka Shanasa Tanhaiyon Ka Makeen
Roshni Ka Samna Huwa To Dar Jaoon Ga Main

Jo Kuch Apney Be-ganon Ke Haathon Mila Hai
Sab Kuch Unhi Ke Naam Kar Jaoon Ga Main

Wo Ek Chehra


Woh Ikk Chehra Jo Gulaab Jaisa Hai
Humarey Liye Magar Saraab Jaisa Hai

Iss Zindagi Say To Mot Bhali Hum Ko
Ye Jeena To Abb Azaab Jaisa Hai

Halka Sa Talkh Dheema Dheema Suroor Bhi
Uss Ka Lab-o-Lahja Bilkul Sharaab Jaisa Hai

Kya Chupaoon Tum Say Kya Bataoon Tum Ko Main
Maira Jeewan To Khuli Kitaab Jaisa Hai

Woh Naam 'Majrooh' Ki Zindagi Mein Shaamil
Uss Ki Loh-e-Jaan Ke Intesaab Jaisa Hai ....!

Teri Zulfain...


Teri zulfein bikharne ko ghataa keh doon tho kaisa ho
Tere aanchal ke urne ko sabaa keh doon tho kaisa ho

Bazahar chup ho lekin phir bhi aankhon mein hain afsaane
Teri khaamoshiyon ko bhi sadaa keh doon tho kaisa ho

Mere shikwe shikayat par bhi mujh se pyar karti ho
Teri chahat ko main sab se judaa keh doon tho kaisa ho

Teri yaadein mere dil par ajab sa shor karti hain
Teri yaadon ko gar main ek nashaa keh doon tho kaisa ho

Tumhaare bin mujhe jeena bara dushwaar lagta hai
Tumhein main apne jeene ki wajaah keh doon to kaisa ho

Jo tum naraaz na ho tho mujhe ek baat kehni hai
Agar main pyar se tum ko wafaa keh doon tho kaisa ho

Samandar Ki Taraf Jao...


Samander ki taraf jaao to saahil daikh ker jaana..
Mohabbat zindagi k sab masaa'il daikh ker jaana..
Had-e-aflaak ko chhoonay ki khuwaahish zehen may rakhna..
Hawaadis ki tarah saari manaazil daikh ker jaana..
Qadam utthnay say pehlay khud azaa'im ko parakhh laina..
Awaakhir per nazar rakhna, awaa'il daikh ker jaana..
Tum aisay dilbaro'n ki sab adaaey'n aik jaisi hai'n..
Tumhaaray zaaviyay hai'n sab mumaasil daikh ker jaana..
Adu say khauf khaanay ki nahee'n koi zaroorat ab..
Tumhaaray daustaa'n ho'n gay muqaabil daikh ker jaana..
Ajab afsurdagi say in gali-koocho'n may phaili hay..
Yeh baam-o-der say khamoshi hamaa'il daikh ker jaana..
Parinday ghau'nslo'n may kab talak yoo'n cheh'chahaaey'n gay..
Her aik shaakh-e-chaman, tauq-o-salaasel daikh ker jaana..!!

Suno...


Suno.....
Aai Chaand si ladki
Abhi Tum keh rahi thi naa
Tumhe Mujh se Mohabbat ho nahi sakti
Chalo Mana K ye Sach hai
Mager Aai Chand si ladki...!
Mujhe itna bata do tum
K jab mosam badalte hain
Guloon me Rang bharte hain
To phir Q muztarib ho ker
Akele Pun se Ghabraa ker
Hawa ko Raaz deti ho
Mujhe Aawaaaz deti ho
Suno....AAi Chand si ladki
Tumhare Saamne koi mera jab naam leta hai
To phir Q chonk jati ho??
Chalo Maana Tumhe Mujhse Mohabbat ho nahi sakti
Magar itna samajh lo Tum
Jahan Chahat nahi hoti
Wahan Nafrat k hone ka koi imkaaan nahi hota
Mera Daawaaa hai chahat me,
Jahan Nafrat Nahi hoti,
Wahan Aksar ye dekha hai
Ager kuch waqt kat jai,
Same ki Dhooool Chat Jai,
To Wehshat Bhaag Jati Hai
Mohabbat....Jaag Jati hai

Ghazab Hogaya...


chaandni raat mein chaand ke saamane
ruKh se pardaa hatanaa Gazab ho gaya
chandni chhup gai chaand sharmaa gaya
aap ka muskurana Gazab ho gaya

dil ki dharkan meri tez hone lagi
raat aankhon mein kaante chubhone lagi
vasl kii raat mein baat hi baat mein
yuun teraa ruth jana Gazab ho gaya

jhuum kar kali kali ghata jab uthi
raat apnii to karvaT badalte kati
kuchh to mausam ne bechain rakkha hamein
kuchh teraa yaad aanaa Gazab ho gaya

apne hisse mein tufaan ki taqdiir thi
zindagi apni maujon ki zanjir thi
Duub jane ka apne hamein Gam na thaa
us ka sahil pe aana Gazab ho gaya

Apni Madhosh....


Apni madhosh nigahon se sawera karna
Isi veeran shabistan mein ujala karna

Tergi rehti hai teri shab-o-roz yahan
Tum ksis roz yahan aker basera karna

Woh tou phoolon se bhi nazuk hai buhat der talak
Jab bhi dekho tou nazer uski utara karna

Apni zulfon mein chupalon mujhko buhat udaas hoon mein
Roshni Chubhti hai ankhon mein adhera karna

Yoon tou har din teri khushboo se jawan rehta hai
Ankh lag jaye tou khuwabon mein bhi aya karna

Woh kisi roz idher se bhi guzer sakti hai
Tum na ik pal bhi nazer apni hataya karna

Tumne baadal ki tarhan dhoop chupani hai Aziz
Tum har aik sham use chaand dikhaya karna

Khoobsurat hai Wo Itna...


Khoobsurat hai woh itna, saha nahi jata
kaise hum khud ko rok lain, raha nahi jata

jo mera ho nahi paye ga is jahan mein kaheen
rooh ban kar miloonga us ko, aasmaan main kaheen
pyaar dharti par farishtoon se kiya nahi jata

Khoobsurat hai woh itna, saha nahi jata

un nigahoon main mohabbat nahi, to kaho aur kya hai
par woh mujh se yeh keh raha woh kisi aur ka hai
zara sa jhoot bhi dhang se kaha nahi jata

Khoobsurat hai woh itna, saha nahi jata

aankh main qaid kiye baitha, main ik haseen lamha
jab main us neend se jaagoonga to dil tootay ga
woh mujhe khuwaab koi kyun, dekha nahi jata

Khoobsurat hai woh itna, saha nahi jata
kaise hum khud ko rok lain, raha nahi jata

Ghairat-e-Mehr...


Ghairat-e-mehr rashk maah ho tum
Khoobsurat ho baadshah ho tum,

Jis ne dekha tumhain wo mar hi gaya
Husn ki taigh be panah ho tum,

Husn main aap ke hai shan-e-khuda
Ishq baazon ki sajda gaah ho tum,

Foq hai saray khush jamalon par
Wo sitaray jo hain tu maah ho tum,

Hum se parda wohi hijab ka hai
Kocha garoon se robaro ho tum,

Kyon muhabbat barhai thi tum se
Hum unahgaar begunaah ho tum.....

Kaha Tha Na...


kaha tha na...
is tarah sotay hoye chor k mat jana
mujeh beshak jaga dena
bata dena
mohabbat k safar main sath mere chal nahi saktay
judai k safar main sath mere chal nahi saktay
tumhain rasta badalna hay...
meri had se nilalna hay...
tumhain kis baat ka dar tha ??
tumhain janay nahi deta ??
tumhain kaheen qaid kar laita ??
aray pagli mohabbat ki tabiyat main zabardasti nahi hoti
rasta badalnay se aur had se nikalnay se
na koi rok paya hay
aur na koi rok paye ga...
tumahin kis baat ka dar tha ??
mujhe beshak jaga deti
main tum ko dekh hi laita
tumhain koi dua deta
kam az kam youn to na hota mere sath
haqeeqat hay
tumahre baad khonay k liye kuch bhi nahi baki
magar khonay se darta hoOn
Main Ab SOnay Se Darta Hoon....

Kya Ho Tum..


Kya Ho Tum !
Chalo mein batao kya ho tum,
Mere liye meri duniya ho tum.
Chu kar jo guzri woh hawa ho tum,
Mein ne jo mangi woh dua ho tum.
Karey mujh ko jo roshan woh diya ho tum,
Dil yeh kahey mera jiya ho tum.
Kiya mein ney mehsoos woh ehsaas ho tum,
Mere honto ki pyaas ho tum.
Mere baahon ki Aas ho tum,
Meri nazar ki talaash ho tum.
Meri zameen ka akaash ho tum,
Mere chehrey ki kashish ho tum.
Mere sitaron ki gardish ho tum,
Meri zindagi ka karaar ho tum.
Mein ney jo chaha woh pyaar ho tum,
Meray intizaar ki raahat ho tum.
Mere dil ki chaahat ho tum,
Tum ho to yeh duniya hai meri
kaisey kahoo key meri jaan ho tum !

Tamanna...


Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge.

Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayenga,
Chund Lamhoo May Daaman Choot Jaayega,

Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jayega.

Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hai,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,

Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,

Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,

Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,

Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,

Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.

Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,

Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge

Janay Kyon???


jane kyu lagta hai
zindgi bojh si hai..
badal bhi baras rahe hain magar
saanso ki nami khanosh si hai..

har din guzarta hai shaam ki aas me..
shaam guzar jati hai
chand ki pyaas me..
chand bhi ata hai aur
chala jata hai..
aur fir ik naya din
nayi saza lata hai....

khatam hota ja raha hai yuhi ye waqt
zehan me beeti yaado k sath..
yaade bhi dhundli ho jati hai
naye pani ki nayi barsaat k sath..

kuch bhi to apna nahi hai yaha
kise apna keh rahe ho tum
khud ko he paraya paoge..
ho jaoge ik roz isse zindgi me gum..
ho jaoge ik roz isse zindgi me gum..

Meray Khuwaab...


Meray khuaabo'n kay jharoko'n ko sajaanay waali
Teray Khuaabo'n main kaheen mera guzar hai kay nahin
Poochh kar apni nigaaho'n say bata day mujh ko
Meri raato'n kay muqaddar main sehar hai kay nahin

Chaar din ki ye rafaaqat jo rafaaqat bhi nahin
Umar bhar kay liye aazaar hui jaati hai
Zindagi yun tou hamesha say pareshaan si thi
Ab tou har saans giraa'n baar hui jaati hai

Meri ujrri hui neendo'n kay shabistaano'n main
Tu kisi khuaab kay paikar ki tarah aayee hai
Kabhi apni si, kabhi ghair nazar aati hai
Kabhi ikhlaas ki moorat, kabhi harjaayee hai

Pyaar par bas tou nahin hai mera lekin phir bhi
Tu bata day kay tujhay pyaar karoon ya na karoon
Tu nay khud apnay tabassum say jagaaya hai jinhain
Un tamanaao'n ka izhaar karoon ya na karoon

Tu kisi aur kay daaman ki kali hai lekin
Meri raatain teri khushboo say basi rehti hain
Tu kaheen bhi ho, teray phool say aaraz ki qasam
Teri palkain meri aankho'n pay jhuki rehti hain

Teray haatho'n ki hararat, teri saanso'n ki mehak
Terti rehti hai ehsaas ki pehnaayee main
Dhoondti rehti hain takhaiyyul ki baahain tujh ko
Sard raato'n ki sulagti hui tanhaayee main

Tera altaaf'o karam aik haqeeqat hai magar
Ye haqeeqat bhi haqeeqat main fasaana hi na ho
Teri maanoos nigaaho'n ka ye mohtaat payaam
Dil kay khoon karnay ka aik aur bahaana hi na ho

Kaun jaanay meri imroz ka farda kya hai
Qurbatain barh kay pashemaan bhi ho jaati hain
Dil kay daaman say lipat'ti hui rangeen'n nazrain
Dekhtay dekhtay anjaan bhi ho jaati hain

Meri darmaanda jawaani ki tamannaao'n kay
Muzmahil khuaab ki taabeer bata day mujh ko
Teray daaman main gulistaa'n bhi hain, weeraanay bhi
Mera haasil, meri taqdeer bata day mujh ko.

Aik Waham Tha...


Aik Waham Tha Dil Main
Shayad Kabhi Milo Tum
Kuch Dair Ruk Ker Poocho
Beetay Dinoon Ka Mosam
Aawaz Main Ho Larzish
Aankhoon Main Ho Tajassus
Mazii Ka Koi Lamha
Shayad Atak Gaya Ho
Sab Bhool Ker Bhi Shayad
Kuch Yaad Aa Gaya Ho
Phir Main Tumhain Bataoon
Apni Khushi Ki Baatain
Har Dukh Ko Chupa Ker Dil Main
Aasoodgi Ki Baatain
Wo Chand Chudhween Ka
Taroon Bhari Wo Aankhain
Dilkash Haseen Shamain
Maasoom Wardatain
Wo Pyar Ka Tasawwor
Wo Bandagi Ki Batain
Wo Rooz Rooz Marna
Aur Zindagi Ki Baatain
Tum Dukh Say Muskurao
Dheeray Say Muskurao
Dheeray Say Paas Aao
Sar Ko Jhuka Kay Apnay
Chup Chaap Lout Jao
Phir Main Bhi Muskuraon
Maan Kay Diyay Jalaon
Duhraon Apnay Dil Main
Taa'luq Say Haqeeqat
Aik Khuwab Zindagi Ka
Haan Umer Bhar Jo Daikha
Kabhi Ho Saka Na Poora
Younhi Reh Gaya Adhoora
Aik Khuwab-e-Zindagi Ka

Chand Sitaray...


Chand Sitary Roth Gay Hain
Phool Thy Hum
Ab Dhuul Hye Hian
Yadoon Ke Anmool Khizaany
Ankhon Main Hain Dhundhlay Dhundhlay
Tera Dheema Dheema Lahja
Raat Ke Pichlay Paher Main Akser
Yaad Ata Hai...
Terpata Hai
Lakin Ab Wapus Matt Ana
Mery Baloon Ki Ratoon Main
Berf Chamakti Hai Ab Her Suu
Ankhain Bhujty Taroon Jasi
Chehra Bhi Shadaab Nahi Hai
Sans Bhi Kuch Kuch Be Hangum Si Hai
Hontoon Ki Lali Bhi Kum Hai
Haar Dya Hai Main Ne Sabb Kuch
Teri Chahat Mian Dekha Naa!!!!
Abb Matt Ana,Abb Matt Ana.
Phool They Hum Ab Dhool.......