Meray khuaabo'n kay jharoko'n ko sajaanay waali
Teray Khuaabo'n main kaheen mera guzar hai kay nahin
Poochh kar apni nigaaho'n say bata day mujh ko
Meri raato'n kay muqaddar main sehar hai kay nahin
Chaar din ki ye rafaaqat jo rafaaqat bhi nahin
Umar bhar kay liye aazaar hui jaati hai
Zindagi yun tou hamesha say pareshaan si thi
Ab tou har saans giraa'n baar hui jaati hai
Meri ujrri hui neendo'n kay shabistaano'n main
Tu kisi khuaab kay paikar ki tarah aayee hai
Kabhi apni si, kabhi ghair nazar aati hai
Kabhi ikhlaas ki moorat, kabhi harjaayee hai
Pyaar par bas tou nahin hai mera lekin phir bhi
Tu bata day kay tujhay pyaar karoon ya na karoon
Tu nay khud apnay tabassum say jagaaya hai jinhain
Un tamanaao'n ka izhaar karoon ya na karoon
Tu kisi aur kay daaman ki kali hai lekin
Meri raatain teri khushboo say basi rehti hain
Tu kaheen bhi ho, teray phool say aaraz ki qasam
Teri palkain meri aankho'n pay jhuki rehti hain
Teray haatho'n ki hararat, teri saanso'n ki mehak
Terti rehti hai ehsaas ki pehnaayee main
Dhoondti rehti hain takhaiyyul ki baahain tujh ko
Sard raato'n ki sulagti hui tanhaayee main
Tera altaaf'o karam aik haqeeqat hai magar
Ye haqeeqat bhi haqeeqat main fasaana hi na ho
Teri maanoos nigaaho'n ka ye mohtaat payaam
Dil kay khoon karnay ka aik aur bahaana hi na ho
Kaun jaanay meri imroz ka farda kya hai
Qurbatain barh kay pashemaan bhi ho jaati hain
Dil kay daaman say lipat'ti hui rangeen'n nazrain
Dekhtay dekhtay anjaan bhi ho jaati hain
Meri darmaanda jawaani ki tamannaao'n kay
Muzmahil khuaab ki taabeer bata day mujh ko
Teray daaman main gulistaa'n bhi hain, weeraanay bhi
Mera haasil, meri taqdeer bata day mujh ko.

0 comments:
Post a Comment