Aaj Rootha Ek Dost...


Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya

Meri aankho ke her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya

Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
Aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya

Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
Aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya

Jo mere dil ke tha qareeb faqat us ko hi
Aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya

Mere jeevan ki her khushi main wohi tha bus
Aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya

0 comments: