Samander ki taraf jaao to saahil daikh ker jaana..
Mohabbat zindagi k sab masaa'il daikh ker jaana..
Had-e-aflaak ko chhoonay ki khuwaahish zehen may rakhna..
Hawaadis ki tarah saari manaazil daikh ker jaana..
Qadam utthnay say pehlay khud azaa'im ko parakhh laina..
Awaakhir per nazar rakhna, awaa'il daikh ker jaana..
Tum aisay dilbaro'n ki sab adaaey'n aik jaisi hai'n..
Tumhaaray zaaviyay hai'n sab mumaasil daikh ker jaana..
Adu say khauf khaanay ki nahee'n koi zaroorat ab..
Tumhaaray daustaa'n ho'n gay muqaabil daikh ker jaana..
Ajab afsurdagi say in gali-koocho'n may phaili hay..
Yeh baam-o-der say khamoshi hamaa'il daikh ker jaana..
Parinday ghau'nslo'n may kab talak yoo'n cheh'chahaaey'n gay..
Her aik shaakh-e-chaman, tauq-o-salaasel daikh ker jaana..!!
0 comments:
Post a Comment