Tumhare pass se uth k main aa gaya ho'n Magar har ik sha'e ushi kamre main choor aya ho'n Wo mushkbaar si sansain wo dhemi dhemi mehak Wo khushgawar si hiddat wo halki halki kasak har ik sha'e ushi kamre main choor aya ho'n wo mere chehre ko takti hoi gazal ankhain wo jhuk k uthti hoi dilnawaz si palkain wo beqarar nigahain, wo sogawar nazar har ik sha'e ushi kamre main choor aya ho'n mere labo pe wo ghabra k haath rakh dena wo un kahi main har ik baat mujhse kah dena gureez karti hoi “HA” ka dilnasheen manzar tumhare pass se main uth k agaya magar har ik sha'e ushi kamre main choor aya ho'n kitabain FAIZ ki bikhri hoi sirhane per nafi mai hilta hoa wo sar, bekhudi main shane per har aik manzar-e-zeba har aik saa’at-e-khush ada’e husan ki masoomeat ka wo pekar tumhare pass se main uth k agaya magar har ik sha'e ushi kamre main choor aya ho'n wo kapkapate hoe lab wo dubdubati nazar wo alwidai tabassum sa, zard chehre per tehar gaya hai nigaho main akhri manzar tumhare pass se main uth k agaya magar har ik sha'e ushi kamre main choor aya ho'n...
Mujhay tum achi lagti ho Main tum ko acha lagta hoon
Kaho phir kya kiya jaye?
Tumhari muskurati geet gaati dilruba aankhain Bahut gehri, badi qaatil, nihayat khushnuma aankhain Meray dil se meri betaabyon se khelti aankhain Wo pehlay pyar ki zaalim kasak ko jhailti aankhain Khamoshi ki zabaan main mujh se kya kuch bolti aankhain Wo dil se bhaid saray unkahi main kholti aankhain Bazaahir doston main khilkhilati Choor nazron se mujhay awaaz deti, dhondti aankhain Wo meri rooh ke rukhsaar ko ek faaslay se chomti aankhain Ye sub batain batati hain Main tum ko acha lagta hoon Wo meray zabt khodenay pe fehmaaish bhari nazrain Adaa-e-beniyazi ka wo ik nakaam sa manzar Wo ek kamzoor si be-iltifati Be rukhi ki sirf ek mohom kaawish Mujhay... Haan bus mujhay yunhi nazar andaz karnay ki Wo ek dilchasp si koshish Sar-e-mehfil tumhara, raaz khul janay ke dar se Bay irada ghair aham logon se guftugo karna Ye sub batain batati hain Main tum ko acha lagta hoon
Kaho phir kya kiya jaye?
Meray besaakhta fiqray meray lehjay ki har shokhi Mera har waqt har ek samt tum ko dhondtay rehna Nazar partay hi tum par zo se dil dharak uthna Bahut hi waalhana pan se tum ko dekhtay rehna Mera khuwabon khayalon main tumhara haath thamay Door tak chaltay jaana Misaalon main, hawaalon main tumhara zikr lay aana Kisi no khaiz larkay ki tarah har ek kaaghaz par Tumhara naam likhna phir likhna mita dena sub batain batati hain mujhay tum achi lagi ho
Kaho phir kya kiya jaye?
Mujhay tum achi lagti ho Main tum ko acha lagta hoon
Kaho phir kya kiya jaye?
Humaray darmiyaan rasmon ka riwajon ka Simaaji martabay ka, umr aur khandaanon ka Bahut gehra khala hai Us ko kesay pur kiya jaye? Kaho phir kya kiya jaye?
Tumhain dekha nahin, Jana nahin, Phir bhi ye lagta hai Qabeela ek hai apna, Wohi dard-e-judaai hai, Wohi bheegi hui palkain Naseeba ek hai apna, Kisi se kuch nahin kehna, Koi shikwa nahin karna Qareena ek hai apna, Kisi ki yaad se veerana-e-dil, Jagmaga lena Khazeena ek hai apna, Yaqeen ki aakhri had tak, Milan ki khush gumani hai Nateeja ek hai apna....
Naakam nahin nashaad nahin Main Qais nahin Farhad nahin Punnon bhi nahin Ranjha bhi nahin Wamiq bhi nahin Mirza bhi nahin Wo log tu bas afsaana thay Is shiddat se baygaana thay Main zinda ek haqiqat hoon Sar ta pa jazba-e-ulfat hoon Main tunko dekh ke jeeta hoon Har lamha tum pay marta hoon Main aisi muhabbat karta hoon Tum kesi muhabbat karti ho?
Tum jahan pay bath ke jati ho Jis cheez ko haath lagati ho Main wahin pay betha rehta hoon Us cheez ko chota rehta hoon Main aisi muhabbat karta hoon Tum kesi muhabbat karti ho?
Tum jis se hans ke milti ho Main us ko dost banata hoon Tum jis rastay pay chalti ho Main us se aata jata hoon Main aisi muhabbat karta hoon Tum kesi muhabbat karti ho?
Tum jin ko dekhti rehti ho Wo khuwaab sirhaanay rakhta hoon Main tum se milnay julnay ke Kitnay hi bahanay rakhta hoon Main aisi muhabbat karta hoon Tum kesi muhabbat karti ho?
Kuch khwab saja kar aankhon main Palkoon se moti chunta hoon Koi lams agar cho jaye tu main pahroon tum ko sochta hoon Main aisi muhabbat karta hoon Tum kesi muhabbat karti ho?
Jin logon main tum rehti ho Tum jin se batain karte ho Jo tum se hans ke miltay hain Jo tum achay lagtay hain Wohi mujh ko achay lagtay hain Main aisi muhabbat karta hoon Tum kesi muhabbat karti ho?
Jis baagh main subah ko jaatay ho Jis sabzay par tum chaltay ho Jo shaakh tumhain cho jati hai Jo khushboo tum ko bhati hai Wo aos tumharay chehray par Jo qatra qatra girti hai Wo titli chor ke pholoon ko Jo tumse milnay aati hai Jo tum ko cho ne aati hai Un sab naazuk jazboon main Mere dil ki dharkan basti hai Meri rooh bhi shaamil rehti hai Tum paas raho ya dor raho Nazroon main samaye rehti ho Main tum ko takta rehta hoon Main tum ko sochta rehta hoon Main aisi muhabbat karta hoon Tum kesi muhabbat karti ho?
Jis college main tum parhti ho Main us main lecture deta hoon Wo class jahan tum hoti ho Main us ko takta rehta hoon Jis kursi pay tum bethti ho Main us ko cho ta rehta hoon Jo copy tum ne gum ki thi Main apnay bag main rakhta hoon Gandla sa ek tissue paper Jo tum ne class main chora tha Wo meray purse main rehta hai Wo meray lams main rehta hai Wo makhmal hai wo deeba hai Wo chandi hai wo soona hai Wo ambar hai wo sandal hai Wo khushboo ka ek jungle hai
Har manzar main har rastay par Main saath tumharay hota hoon Main chashm-e- tassawor se aksar Bas tum ko dekhta rehta hoon Main aisi Muhabbat karta hoon Tum kesi muhabbat karti ho?
Main aisi muhabbat karta hoon... Batao Tum kesi muhabbat karti ho???
sherein bhi nahin , lelaa bhi nahin main heeer nahin , azra bhi nahin wo qissa hain afsanaa hain wo geet han prem tarana hain MAIN zinda aik haqeeqat hun Main juzba-e-ishq ki shiddat hun main tumko dekh k jeeti hun main her pal tum pe merti hon main aesi muhabat kerti hun tum kaisi muhabat kertey ho?
jub haath dua ko uthtay hain alfaaz kahin khoo jatay hain bus dehaan tumhara rehta hai aur ansoo behtay rehtey hain her khowab tumhara pora ho is Rub ki minnat kerti hun main aesi muhabat kerti hon tum kaisi muhabat kertey ho?
mujhay thundak raas nahin aati mujhay barish se khauf aata hai per jis din se maloom huaa ye mosum tumko bhaataa hai ab jub bhi sawan aataa hai baarish mein bheegtii rehti hon qatroon mein tumhi ko dhondti hun bondoon se tumhara pochtii hun main aesi muhabat kerti hun tum kaisi muhabat kertey ho?
tum jub bhi gher per aatay ho aur sub se baatein kertey hoo main aoot se perdey ki jaanaa'n bus tumko dekhti rehti hon ik tumko dekhnay ki khaatir main kitni pagal hoti hun main aesi muhabat kerti hun tum kaisi muhabat kertey ho?
jub darwazay per dustak ho yaa ghanti phone ki bajti ho main chohrr k sub kuch bhaagti hon per tumko jub nahin paati hon jee bher k roonay lagti hon main aesi muhabat kerti hon Tum kesi muhabbat karte ho???
Main aisi muhabbat karti hoon batao Tum kesi muhabbat kartay ho???