Showing posts with label Rahat's Collection. Show all posts
Showing posts with label Rahat's Collection. Show all posts

Yaqeen Janeye!

Usay mera ahsas hi nai
Shayad usey mujh sey piyar hi nai
Mein lakh wafaon k bawajood har gayi
Usay shayad meri piyas hi nai
Zindagi sey ab to dar lagney laga hey
Mout pe bhi apna koe ikhtiyar nai 
Chand lamho ki rafaqat bas gai dil mein
Aur wo chala gaya you k koe us k sath nai
Khush hey mujh sey bicher k youn
Jesey usey ko chiz ka koe malala hi nai

Mein na kehti thi 
Aik aisa din b ayega
Jab tum hum sey juda hojaogey
Aur hum tum sey door chaley jaye gey
Phir lout k jab tum aogey
Tu hum ko na pao gey to!
Khud bhat rulaogey
Aur khud ko bahut sataogey

Phir nagri nagri dhondo gey hum ko
Aur hum ko dhond na pogey
Loat aogey thak k tum 
Aur jan apni jalaogey
Aur yado k bhawar mein kho jaogey
Mere bin khud ko bhat tanha paogey
Wo rothna manana 
Wo hansna aur rodena
Wo qurbatey fasley wo ranjishey adawatey
Wo shikway aur shikayatey
Kabhi bhool na paogey 
Tanha kamre mein chup k
Diwaron se sar takraogey
Aur kahogey k apney ap se khud

Mein ney lotney mein itni dair q kardi?

Wafa ki qadar wo bewafa kia janta
Jo hey khud sarapa-e-jafa wo jafa ko bura kia janta
Usay mohabbat thi kisi or bewafa sey
Wo apni ki hoi bewafai ko bura kia janta
Hogaye mere khuwab reza reza 
Tor k dil k hasney ko wo bura kia janta
Nai maloom tha humey k youn juda b hona hey
Aas dey k dil torney ko bura wo kia janta
Hogaya hey wo pathar ki manind sakht dil
Meri ankhon mein ansoon ko bura wo kia janta
Kar k mohabat chor di jis ney ulfat
Wo kisi aur bewafa ko bura kia janta
Zaroorat hi samjhta raha humey aj tak
Meri wafa ki qadar wo bewafa kia janta

Chor gaya hey mujhey to yadey b sath leta ja
Jo ki thi mujh sey wo sari batey sath leta ja
Tu khush hey apni dunya mein,mein teri dunya mein rehti hon
Apney dard ,ghum,anso ye sab nishaniya b sath leta ja
Aayegi jo yad tum ko meri ankhey to kia karogey
Chalo aisa karo in ankhon ki sari udasi b sath leta ja
Karogey yad to har bat udas kar jayegi
Wo tuhfey wo qisey wo yadey b sath leta ja

Mein bolaon or woh lot aye
Yaqin janiye aisey halat nai
Is dunya mein ab ji nai lagta
Werna aisi to koe bat nai
Meri ankhon k goshey bighey 
Tu us ki ankhey bhi sulgey
Yaqin janiye
Ab aise  koe ahsasat nai
Mere dard pe roney wala
Wo mera khayal rakhney wala
Wo piyar mujh hi ko karney wala
Mein yad karo us ko or wo ajaye
Haan! ab aise jazbat nai
Wo jo aik sada pe ata tha
Bulaye na bulaye her pal sath nibhata tha
Jo mujhey hasata tha
Mujhey samjhata tha
Ab is tanhai k ashaob nagaer mein
Ab wo mere sath nai
Ab pehli si us mein wo bat nai
Haan..........
Yaqin janiye..........!
Ab pehley se halat nai
Jazbat nai
Ahsasat nai


written by
"Rahat"

Kaho phir kya kiya jaye?

Kaho phir kya kiya jaye?

Mujhay tum achi lagti ho
Main tum ko acha lagta hoon

Kaho phir kya kiya jaye?

Tumhari muskurati geet gaati dilruba aankhain
Bahut gehri, badi qaatil, nihayat khushnuma aankhain
Meray dil se meri betaabyon se khelti aankhain
Wo pehlay pyar ki zaalim kasak ko jhailti aankhain
Khamoshi ki zabaan main mujh se kya kuch bolti aankhain
Wo dil se bhaid saray unkahi main kholti aankhain
Bazaahir doston main khilkhilati
Choor nazron se mujhay awaaz deti, dhondti aankhain
Wo meri rooh ke rukhsaar ko ek faaslay se chomti aankhain
Ye sub batain batati hain
Main tum ko acha lagta hoon
Wo meray zabt khodenay pe fehmaaish bhari nazrain
Adaa-e-beniyazi ka wo ik nakaam sa manzar
Wo ek kamzoor si be-iltifati
Be rukhi ki sirf ek mohom kaawish
Mujhay...
Haan bus mujhay yunhi nazar andaz karnay ki
Wo ek dilchasp si koshish
Sar-e-mehfil tumhara, raaz khul janay ke dar se
Bay irada ghair aham logon se guftugo karna
Ye sub batain batati hain
Main tum ko acha lagta hoon

Kaho phir kya kiya jaye?

Meray besaakhta fiqray meray lehjay ki har shokhi
Mera har waqt har ek samt tum ko dhondtay rehna
Nazar partay hi tum par zo se dil dharak uthna
Bahut hi waalhana pan se tum ko dekhtay rehna
Mera khuwabon khayalon main tumhara haath thamay
Door tak chaltay jaana
Misaalon main, hawaalon main tumhara zikr lay aana
Kisi no khaiz larkay ki tarah har ek kaaghaz par
Tumhara naam likhna phir likhna mita dena
sub batain batati hain mujhay tum achi lagi ho

Kaho phir kya kiya jaye?

Mujhay tum achi lagti ho
Main tum ko acha lagta hoon

Kaho phir kya kiya jaye?

Humaray darmiyaan rasmon ka riwajon ka
Simaaji martabay ka, umr aur khandaanon ka
Bahut gehra khala hai
Us ko kesay pur kiya jaye?
Kaho phir kya kiya jaye?

Kaho phir kya kiya jaye???

Kabhi Tu Kabhi...

Kabhi aanchal ko sar pe rakhtay howe
Kabhi haya se palkain jhukatay howe
Kabhi saheli ki baat pe sharmatay howe
Yunhi bazaar main chaltay howe
Kabhi kharidtay howe koi cheez
Hathon se mehndi churatay howe
Surkh kaanch kaanch ki surkh chooriyan dekh kar
Koi jora man par sajatay howe
Kabhi labon par lipistick lagatay howe
Kabhi rukhsaar par ghara lagatay howe
Maang main afshaan sajatay waqt
Pairon main pazaib charatay waqt
Kabhi shadi biyaah ke geet gaatay howe
Kabhi mehfil main sha’ir sunatay howe
Sahelion ke sung geet rung jamatay howe
Muskaratay howe kisi shokh baat par
Kabhi Eid ki khushyaan manatay howe
Saheliyon se miltay howe galay
Kabhi kaheen picnic manatay howe
Dua ke liye haath uthatay waqt
Kabhi tanhai main gungunatay howe
Bahaaron ki khuli kali dekh kar
Pholoon pe phirti titliyaan dekh kar
Bahaar mousam ki atkiyaan dekh kar
Kabhi bichray doston se miltay waqt
Zikr guzray dino ka kartay howe
Kabhi apni khuwahishon ke zikr main
Mustaqbil ke bat’tay howe taanay kabhi
Haseen khuwaab se achannak khulnay par aankh
Kabhi be-chaini se karwat badaltay howe
Sar-e-Mahfil achanak kisi zikr par

Main Tumhain Yaad Kabhi Aaya Bhi Ke Nahin….

Main ne sada socha hai tujhay
Kabhi jagtay howe aat ke akhri paher main
Kabhi din ke ujalay main chaltay howe
Shaam ke dhalay howe saaye main kabhi
Kabhi subh ko ghar se nikaltay howe
Subh hotay hi aankh ko maltay howe
Shub ko neend aankhon main bhartay howe
Kabhi hanstay howe kisi baat pe
Pyaar ka zikr kisi se kartay howe
Saahil ki naram rait par
Tanha chaltay howe paaon bhigotay howe
Kabhi jeevan ki tanhai main ukta kar
Mehfil se bazaar ho kar kabhi
Ghazal bhi achi si parhtay howe
Suntay howe kabhi koi acha sa sha’ir
Dekhtay howe kabhi koi khush rung sa phool
Kabhi haath main kaantay chibhotay howe
Bulbul ko tanha udaas betha dekh kar kabhi
Darakhton par khuday naam parhtay howe
Shaam dhalay parindon ki daraarr dekh kar
Kinaray ko darya ke jholay ke samay
Kabhi koi fasana hijr parhtay howe
Kabhi aanso aankh main bhartay howe
Khayal main kho ke kabhi tu kabhi
Totay khuwabon ki kirchiyon ki chuban soch ke
Kabhi raaton ko sitaray gintay howe
Kabhi dekh kar chamaktay howe maahtab ko
Aaftaab ki garm garm kirno se jaltay howe
Kabhi tanhai ka sehtay howe azaab
Aur kabhi yaad main teri aahain bhartay howe
Main ne sada socha hai tujhay

Kya Tumhain Bhi Ayi Kabhi Meri Yaad……

Kya Usay Bhool Paongi...

Tamam raat soch kar
Faysla yehi kiya
Ke usko bhool jaongi
Kabhi nahin bulaongi
Aur ittefaaq se kabhi
Mujhay wo mil gaya kaheen
Tu ajnabi main jaan kar
Kabhi na muskuraongi
Kaheen bhi uske tazkiray par
Lab nahin hilaongi
Wafa ki saari kashtiyaan
Mani aap hi jalaongi
Na usko aazmaaongi
Na phir kabhi sataongi
Main uski yadon main
Na ab ashk bahaongi
Bahut mutma'in si ho ke
Janay kab main so gae
Khayal-o-khuwaab ki haseen
Waadiyon main kho gae
Ke jis main har qadam pe wo
Meray saath saath
Raastay ke pech-o-khum
Hogaye thay kitnay kam
Shaadman sa wo bhi tha
Has raha tha bar bar
Aankh jab khuli meri
Tu dhoop thi charhi hui
Na janay kitni dair tak
Sochti rahi thi main
Us haseen khuwaab ko
Muhabbaton ki talkhiyaan
Jo yaad aagaen tu phir
Jhatak ke sar main uth gae
Usay nahin hai sochna
Na ab kabhi hai khojna
Din guzar gaya yun roz-marra kaam main
Shaam dhal rahi thi jab
Mujhay jo qurbatain mili
Tu yak baik kaheen se phir
Khayaal uska aagaya
Main khud se pochnay lagi
Kya main usko bhool paongi.....???
Gazishta shub ka faysla
Pal ke Pal badal gaya
Muhabbaton ki kushbo'yen
Hisaar kheenchnay lageen
Ye jaanti thi ab bhi main
Ke wo mujhay satayega
Wo meri zid pe baar baar
Ab mujhay rulayega
Ke wa'da kar ke mujh se phir
Aaj bhi na aayega
Bula rahi thi aglay pal
Phir usay main apnay ghar........

Kabhi Khayal Aata Hai...

Kabhi kabhi khayal aata hai mujhay
Mera tujhko toot ke chahna
Sirf aur sirf tujhay hi yaad karna
Tujh se mulaqaat na ho tu
Ghumzada hojana
Teri berukhi pay aanso bahana
Teray ghum ko apna ghum samajhna
Tu ghumzada ho tu
Mera udaas hojana
Saari dunya se begaani ho kar
Sirf tujhay chaahna
Khuwaab ho ya haqeeqat
Sirf teray hi saraapay ko samnay paana
Teri judaai ke tassawur se
Aankh bhar aana
Kaheen ye meri deewangi na ho
Phir ye sochti hoon
Ye itni muhabbat kis k liye
Kya tum ne bhi mujhay itna chaha hai
Lekin!
Phir ye soch kar hans deti hoon
Kya zaroori hai
Main jisay chaahon
Wo bhi mujhay utna hi chahay....

Chaahti Nahin....

Main tujhay nahin chahti lekin

Phir bhi jab paas tum nahin hotay
Khud ko kitna udaas paati hoonJaanay kya dhun samaai rehti hai
Ek khamoshi si chaai rehti hai
Dil se guftugo bhi nahin hoti

Main tujhay chahti nahin lekin

Phir bhi shub ko taweel khalwat main
Teray auwqaat sochti hoon
Teri har baat sochti hoon
Kho si jaati hoon teri jannat main

Main tujhay chahti nahin lekin

Phir bhi ehsaas se najaat nahin
Sochti hoon tu runj hota hai
Dil ko jesay koi dubota haiJis ko is darja hahti hoon main
Us main teri si koi baat nahin

Main tujhay chahti bhi nahin lekin.....

Sub Tumharay Liye...

Sub tumharay liye
Jaan-e-jaan ye jahan
Ye zameen aasmaan
Ye meray raat din
Khaak hain teray bin
Ye meri zindagi
Dosti dushmani
Raastay, waastay
Sub tumharay liye
Tum jo dekhotum tu meray shub-o-roz ko
Koi matlab milay
Tum jo pocho meray har ek harf ko
Koi rutba milay, Koi mansab milay
Tum jo meray waastay kuch kabhi
Main sitaron ko muthi bhar laon ga
Tum agar ek din mujhko aawaz do
Main jahan par bhi hoon, Lot kar aaonga
Ye meray jism-o-jaan
Meray sher-o-sukhan
Meri aabaadyaan
Meri tanhaaiyaan
Meri har aarzo
Meri mayosiyaan
Ab tumharay liye
Sub tumharay liye.....

By: Amjad Islam Amjad

Kisi Ko Dosh Kya Dain...

Barabar barh raha hai ghum kisi ko dosh kya dain hum
Hain apnay aap par barham kisi ko dosh kya dain hum,

Hansay koi tu hansnay do humara haal rehnay do
Jub apni aankh hai pur num kisi ko dosh kya dain hum,

Udaasi chaar so pheli na mehfil hai na tanhai
Usi ki yaad hai har dum kisi ko dosh kya dain hum,

Zaruri tu nahin hai ye ke insaan har khushi paalay
Hai qismat ka ye zair-o-kham kisi ko dosh kya dain hum,

Ajab hai dard muhabbat ka jo marzi pe nahin khulta
Nahin chalta yahan sim sim kisi ko dosh kya dain hum,

Kahay usnay jo kehni hai humain tu har baat sahni hai
Kiya hai humnay jab sar khum kisi ko dosh kya dain hum...

Main Waaraftagi...

Main kitnay waaraftagi se suna raha tha
Wo saari baatain wo saaray qissay
Jo us se milnay se beshtar Meri zindagi ki hikayatain theen
Main keh rahi thi ke aur bhi log thay
Jinhain meri aarzo thi meri talab thi
Ke jin se meri muhabbaton ka raha ta'alluq
Ke un main se kuch ko tu main ne jaan se azeez samjha
Magar kuch ko tu meri be-dili aur be-parwahi se shikayatain theen
Main ek ek baat Ek ek jurm ki kahani
Dharaktay dil kaanptay badan se suna rahi thi
Magar wo pathar bana mujhay yun sunta raha
Ke meray labon par jesay
Kisi muqaddas saheefay ki aayatain theen......

Koun Ayega...

Koun ayega
Shub bhar girtay patton ki awaazain mujh se kehti hain
Koun ayega
Kis ki aahat par mitti ke kaan lagay hain
Khushboo kis ko dhoond rahi hai
Shabnum ka aashob samajh
Aur dekh ke in phoolon ki aankhain
Kis ka rasta dekh rahi hain
Kis ki khaatir
Qarya qarya jaag raha hai
Soona rasta goonj raha hai
Kis ki khaatir
Tanhaai ki khaatir
Tanhaai ke phool nagar main
Shub bhar girtay patton ki awaazain chunti rehti hoon
Apnay sar par tez hawa ke nohay suntay rehti hoon....

Jee Chahta Hai...

Sung-e-marmar se tarasha howa ye shokh badan
Itna dilkash hai ke apnanay ko jee chahta hai,

Surkh honton par tharakti hai wo rangeen sharab
Jis ko pi pi ke bahek janay ko jee chahta hai,

Tum se kya rishta hai kab se hai malom nahin
Lekin is ehsaan pe marjanay ko jee chahta hai,

Hum se bahtar hai ye kitaab jo teray hathon main hai
Bas is kitaab main dhal janay ko jee chahta hai,

Kab se khamosh hoon aey jaan-e-jaana
Kya aur sitam dhaanay ko jee chahta hai?

Apnay hathon se sunwara hai tumhain qudrat ne
Tu hi noor hai, tujh pe marjanay ko jee chahta hai,

Meray dil ko koi na cho payega
Tumhain cho ke ye qasam khanay ko jee chahta hai...

Meri Muhabbat...

Wo dost ajnabi chehra
Azeez hai humain apnay dil-o-jaan ki tarah
Apni apni si lagti hain baaain uski
Dil main aaya tha jo ek mehmaan ki tarah
Nahin ai shikaayat koi bhi us say
Ke harkatain jo karta hai jo ek naadan ki tarah
Khud gharzi se paak hain baatain uski
Nahin hai is saaray jahaan ki tarah
Na jaanay usi par itna aetmaad kyon hai
Ke dhoop main bhi hai chaaon ki tarah....

Dua Ki Ibtida Tum Ho...

Meri saari duaaon main dua ki ibtida tum ho
Dua ki ibtida tum ho dua ki intiha tum ho,

Khuda se main ne jab bhi kuch bhi maanga hain tumhain maanga
Tumhain main kesay batlaaon meri nazron main kya tum ho,

Tamanna bhi tum hi ho Aarzo bhi tum justujo tum ho
Meri weeran dunya main khushi ka aasra tum ho,

Tumhara naam suntay hi chamak uthti hain aankhain
Meri saansain meri dharkan meray dil ki sada tum ho,

Tumhi yaadon ke nakhlistaan main khushboo ka jhonka ho
Meri betaabiyon, becheniyon ki bas jaza tum ho,

Tumhi tu mera armaan ho alam ho dard-o-ghum tum ho
Tumhi aankhain tum hi aanso Labon ki iltija tum ho…

Teray Bina...

Jesay chaand hona mukammal chaandni ke bina
Aisay hi main adhori hoon teray bina,

Tum jo paas aao tu chal paray dharkan humari
Warna ye dil dharakta nahin tumharay bina,

Lagta hai dar apnay mahboob ke ruswa honay se
Warna kya naam nahin hota ruswaai ke bina,

Guzarti hoon main jab teri gali se
Tu har taraf kalyan muskurati hain bahaar ke bina,

Jab kho jaati hoon main teri aankh ki gehraai main
Phir kuch nazar aata nahin teri chahat ki bina,

Jab yaad aati hain teray saath guzari shaam-o-sahar\
Tu sochti hoon kesay ji sakongi teray bina...

Bheer Main Aik...

Bheer main ek ajnabi ka saamna acha laga
Sub se chup ke wo kisi ka dekhna acha laga,

Surma'ee aankhon ke neechay phool se kilnay lagay
Kehtay kehtay wo kisi sochna acha laga,

Baat tu kuch bhi nahin thi lekin uska ek dum
Hath ko honton pe rakh hansi rokna acha laga,

Chaye main cheeni milana us ghari bhaya bahut
Zer-e-lab wo muskarata shukriya kehta acha laga,

Dil main kiynay ehd baandhay thay bhulanay ke usay
Wo mila tu sub iraday torna acha laga,

Main adad jaan teri hoon kesay kahoon
Jab bhi aaya samnay wo bewafa acha laga....

Muhabbat Ho Tu...

Muhabbat ho tu batlaana
Ke isi ummeed par ye dil bhi zinda hai
Meri jaanan
Kisi andekhay sapnay ki paadash main
Yunhi rotay rotay muskurana
Haan....
Kabhi tu ho hi jaegi muhabbat
Kisi ki paogi ek roz qurbat
Ke bin jeena bhi uskay phir azaab hoga
Nigaahon main bhi koi sundar khuwaab hoga
Sub an kahay lafzon ko
Sub se hai chupaana
Ke khud ko dekh kar aayenay main
Bina sochay bina samjhay
yunhi thora sa sharmaana
Ke....
Ye sub ho hi jayega achaanak
Magar humko bhi na bhool jana
Haan....
Isi ummeed par tu dil zinda hai
Meri jaanan
Muhabbat ho tu batlaana.....

Har ek se Shanasai hai...

Yun tu is bazm main har ek se shanasaai hai
Phir bhi ehsaas ye hota hai ke tanhaai hai,

Ajnabiyat si ye mehsos kiya tha main ne
Uske badlay howe se lehjay main utar aayi hai,

Main agar chen se soyi nahin us shaam ke baad
Chen se neend kisi aur kokab aayi hai,

Log har gaam ye ranjish ka sabab pochtay hain
Khalqat-e-shahr fasanon pe utar aayi hai,

Us se milna bhi azziyyat ka sabab hai lekin
Us se ab tark-e-ta'alluq main bhi ruswai hai....

Ashk Ki Tarah...

Palkon pe ashk ki tarah rakha na kar mujhay
Sahra ka main seraab hoon roya na kar mujhay,

Main jaon apni jaan se aur roye tu umr bhar
Ab is qadr bhi toot ke chaha na kar mujhay,

Bandhan na toot jaen kaheen zabt ke aey dost!
Nazrain utha ke is tarah dekha na kar mujhay,

Main kya bataon kya hoon mujhay bhi khabar nahin
Tu khud main itna doob ke socha na kar mujhay,

Ashkon ka ek aasra hi reh gaya hai ab
Dil khol ke jo ro'un tu roka na kar mujhay,

Insan hoon aur hoon dard ki mehrab ka diya
Khushyon ki mehil main dhoonda na kar mujhay....

Is Main Koi Shak Nahin...

Is main koi shak nahin
Dil mera tha tu dharkan tum thay
aankhain meri theen tu is ki chamak tum thay
Dosti meri thi tu iqrar tum thay
Subah meri thi tu shaam tum thay
Khuwaab meray thay tu ta'beer tum thay
Farq sirf hai tu itna hai
Bawafa main thi tu bewafa tum thay.....

Teray Aanay Se...

Teray dum bhar ke aanay se
Bhala ye pyaas kya bujhti
Dil main phool kya khiltay
Judaai ki dhool kya dhulti
Meray khuwabon ki tabeerain
Juddai ki amaawas main
Bhala kya rung laayengi
Teray dum bhar ke aanay se
Zakhm mundamil nahin hotay
Khurandain phir udharti hain
Hum tum se mil ke rotay hain
Teray dum bhar ki aanay ki khushboo par
Teray jaanay ka ghum chaaye
Meri aankhain jo pyari hain
Mujhay phir kyon rulatay ho
Ab ki baar jab aao tu
Sub asbaab bhi lao
Kabhi phir door na jana
Tum meray paas reh jaana
Teri baatain mera hansna
Mera sar ho tera shaana.....