Main Waaraftagi...

Main kitnay waaraftagi se suna raha tha
Wo saari baatain wo saaray qissay
Jo us se milnay se beshtar Meri zindagi ki hikayatain theen
Main keh rahi thi ke aur bhi log thay
Jinhain meri aarzo thi meri talab thi
Ke jin se meri muhabbaton ka raha ta'alluq
Ke un main se kuch ko tu main ne jaan se azeez samjha
Magar kuch ko tu meri be-dili aur be-parwahi se shikayatain theen
Main ek ek baat Ek ek jurm ki kahani
Dharaktay dil kaanptay badan se suna rahi thi
Magar wo pathar bana mujhay yun sunta raha
Ke meray labon par jesay
Kisi muqaddas saheefay ki aayatain theen......

0 comments: