Kisi Ko Dosh Kya Dain...

Barabar barh raha hai ghum kisi ko dosh kya dain hum
Hain apnay aap par barham kisi ko dosh kya dain hum,

Hansay koi tu hansnay do humara haal rehnay do
Jub apni aankh hai pur num kisi ko dosh kya dain hum,

Udaasi chaar so pheli na mehfil hai na tanhai
Usi ki yaad hai har dum kisi ko dosh kya dain hum,

Zaruri tu nahin hai ye ke insaan har khushi paalay
Hai qismat ka ye zair-o-kham kisi ko dosh kya dain hum,

Ajab hai dard muhabbat ka jo marzi pe nahin khulta
Nahin chalta yahan sim sim kisi ko dosh kya dain hum,

Kahay usnay jo kehni hai humain tu har baat sahni hai
Kiya hai humnay jab sar khum kisi ko dosh kya dain hum...

0 comments: