Kaho phir kya kiya jaye?
Mujhay tum achi lagti ho
Main tum ko acha lagta hoon
Kaho phir kya kiya jaye?
Tumhari muskurati geet gaati dilruba aankhain
Bahut gehri, badi qaatil, nihayat khushnuma aankhain
Meray dil se meri betaabyon se khelti aankhain
Wo pehlay pyar ki zaalim kasak ko jhailti aankhain
Khamoshi ki zabaan main mujh se kya kuch bolti aankhain
Wo dil se bhaid saray unkahi main kholti aankhain
Bazaahir doston main khilkhilati
Choor nazron se mujhay awaaz deti, dhondti aankhain
Wo meri rooh ke rukhsaar ko ek faaslay se chomti aankhain
Ye sub batain batati hain
Main tum ko acha lagta hoon
Wo meray zabt khodenay pe fehmaaish bhari nazrain
Adaa-e-beniyazi ka wo ik nakaam sa manzar
Wo ek kamzoor si be-iltifati
Be rukhi ki sirf ek mohom kaawish
Mujhay...
Haan bus mujhay yunhi nazar andaz karnay ki
Wo ek dilchasp si koshish
Sar-e-mehfil tumhara, raaz khul janay ke dar se
Bay irada ghair aham logon se guftugo karna
Ye sub batain batati hain
Main tum ko acha lagta hoon
Kaho phir kya kiya jaye?
Meray besaakhta fiqray meray lehjay ki har shokhi
Mera har waqt har ek samt tum ko dhondtay rehna
Nazar partay hi tum par zo se dil dharak uthna
Bahut hi waalhana pan se tum ko dekhtay rehna
Mera khuwabon khayalon main tumhara haath thamay
Door tak chaltay jaana
Misaalon main, hawaalon main tumhara zikr lay aana
Kisi no khaiz larkay ki tarah har ek kaaghaz par
Tumhara naam likhna phir likhna mita dena
sub batain batati hain mujhay tum achi lagi ho
Kaho phir kya kiya jaye?
Mujhay tum achi lagti ho
Main tum ko acha lagta hoon
Kaho phir kya kiya jaye?
Humaray darmiyaan rasmon ka riwajon ka
Simaaji martabay ka, umr aur khandaanon ka
Bahut gehra khala hai
Us ko kesay pur kiya jaye?
Kaho phir kya kiya jaye?
Kaho phir kya kiya jaye???

0 comments:
Post a Comment