Tadapate Hain...

Tadapate hain na rote hain na ham fariyaad karte hain
Sanam ki yaad mein hardam Khudaa ko yaad karte hain

unhi ke ishq mein ham naalaa-o-faryaad karate hain
ilaahi dekhiye kis din hamain wo yaad karate hain

shab-e-furqat mein kyaa kya saanp laharaate hain seenay par
tumhaari kaakul-e-pechaan ko jab ham yaad karte hain

0 comments: