Wahshatain...

Wahshatain bikhri parri hain jis taraf bhi jaon main
Ghoom phir aaya hoon apna shahar tera gaaon main

Kis ko raas aaya hai itni dair tak ka jaagna
Jo bhi mil jaye usko bhi ye samjhaon main

Ab tu aankhon main utar aayi hain dil ki wahshatain
Aayena dekhon tu apnay aap se darr jaon main

Kuch bata aey maatmi raaton ki dhundli chaandi
Bholnay walay ko aakhir kis tarah yaad aaon main

Ab kahan wo dil ke sahra main bahalta hi na tha
Ab tu apnay ghar ki tanhaai se bhi ghabraaon main

Yaad kar ke teray lout aanay ke wa'don ki ghari
Khud ko ek masoom bachay ki tarah bahlaaon main

Meray khuwabon ne tarasha tha tera ujla badan
Aa tujhay ab fikr ki poshaak bhi pehnaaon main....

0 comments: