Na Thi Jab...

Na thi haal ki jab humain apnay khabar
Rahay dekhtay auron ke aib-o-hunar
Parri apni buraaeyon par jo nazar
Tu nigaah main koi bura na raha,

Zafar aadmi usko na janeyega
Wo ho kesa hi saahib-e-fahm-o-zaka
Jisay aish main Yaad khuda na raha
Jisay taish main khouf-e-khuda na raha...

0 comments: