Jo Dard Hai...

Jo dard hai seenay main barha kyon nahin detay
Is dard ki dunya se utha kyon nahin letay

Is zor se dil dharka ke thamnay lagi saansain
Haan ishq kiya hai, Tu saza kyon nahin detay

Kyon halki halki aanch par chalta rahoon har pal
Gar ishq hai aatish tu jala kyon nahin detay

Har saans wird karnay lagi uske naam ka
Aey Qaadir-e-Mutlaq! wo bhula kyon nahin detay

Jis tarah judaai main hain guzri meri aankhain
Ek raat ka usko bhi maza kyon nahin detay

Gar ishq main taseer hai main bhi usay dekhon
Pathar ke sanam ko bhi rula kyon nahin detay...

0 comments: