Hazaaron Tarah...

Hazaaron tarah apna dard hum unko sunatay hain
Magar tasweer ko har haal main tasweer patay hain

Bujha day aey hawa-e-tand! madfan ke chiraghon ko
Maniya bakhti main ye ek badnuma dhabba lagatay hain

Murattab kar gaya ek ishq ka qanoon dunya main
Wo deewanay hain jo majnoon ko deewana banatay hain

Usi mehfil se main rota howa aaya hoon aey Aasi
Isharay maon jahan laakhon muqaddar badlay jatay hain...

0 comments: