Ash'aar...

Aainda nasl mujhko parhaygi ghazal ghazal
Main lafz lafz apna hunar chor jaonga...


Kuch bhi nahin siwa-e-Musalsal faraib ke
Dekha hai zindagi ko nihayat qareeb se...


Anjaam teray haath hai Aey na-Khuda-e-ishq
Saahil pe hoon safinay main toofaan liye howe...


Samajh na haqeer zindagi ke un lamhon ko
Aray! Unhi se zamanay banaye jatay hain...


Dekh zindaan se paray josh-e-chaman rang-e-bahaar
Raqs karna hai tu phir paaon ki zanjeer na dekh...


Teray karam main kami nahin kareem hai tu
Qusoor mera hai jhota ummmedwar hoon main...


Dozakh ne mujhko dekh kar Khaliq se yun kaha
Mujhse tu ye ghareeb jalaya na jayega
Ka'ba gar jo toota tu so baar banayga
Toota jo qasr-e-dil tu banaya na jayega...


Hawa ke shoq main shakhain jhuki khaliq ke sajday ko
Hui tasbeeh main masroof har patti zaban ban kar...


Kamar khum be wajah nahin peeri mureedi main
Zameen dhoond rahay hain mazaar ke qaabil...

Wo kashta hoon ke meri laash jis taraf guzray
Zameen pukaar uthay qaabil-e-mazaaar hoon main...

0 comments: