Ash'aar...

Dikha ke naqsh-e-qadam keh rahi hai qabar meri
Abhi gaya hai koi paamaal kar ke mujhay...


Keh raha hai shor-e-darya se samandar ka sukoon
Kis ka jitna zarf utna hi wo khamosh hai...


Dost ne dil tor kar naqsha wafa ka diya
samjhay thay jisay hum khaleel ka'ba usi ne dha diya...


Sair ke phool chunay, khush rahay, shaad rahay
Baghbaan jatay hain hum gulshan tera aabad rahay....


Log aise hi jaanbaaz ko rotay hain jahan main
Sheron ke pisar sher hi hotay hain jahan main....


Ya rab isi tarah meri mayyit parri rahay
Bethay rahain wo chaak garebaan kiye howe...


Main sa jhuka ke soye jahannam chala hi tha
Kuch raham aagaya meray parwardigar ko...


Jaag na hai Jaag lay aflaak ke saaye talay
Umr bhar soya rahay ga khaak ke saaye talay...


Nana ki tarah koun dagha karta hai dekhoon
Sar koun hazaron ke juda karta hai dekhoon...


Jab khet ke dekh'haan ko muyassar na ho rooti
Us khet ke khosha-e-gandum ko jala do....

0 comments: