Kya Usay Bhool Paongi...

Tamam raat soch kar
Faysla yehi kiya
Ke usko bhool jaongi
Kabhi nahin bulaongi
Aur ittefaaq se kabhi
Mujhay wo mil gaya kaheen
Tu ajnabi main jaan kar
Kabhi na muskuraongi
Kaheen bhi uske tazkiray par
Lab nahin hilaongi
Wafa ki saari kashtiyaan
Mani aap hi jalaongi
Na usko aazmaaongi
Na phir kabhi sataongi
Main uski yadon main
Na ab ashk bahaongi
Bahut mutma'in si ho ke
Janay kab main so gae
Khayal-o-khuwaab ki haseen
Waadiyon main kho gae
Ke jis main har qadam pe wo
Meray saath saath
Raastay ke pech-o-khum
Hogaye thay kitnay kam
Shaadman sa wo bhi tha
Has raha tha bar bar
Aankh jab khuli meri
Tu dhoop thi charhi hui
Na janay kitni dair tak
Sochti rahi thi main
Us haseen khuwaab ko
Muhabbaton ki talkhiyaan
Jo yaad aagaen tu phir
Jhatak ke sar main uth gae
Usay nahin hai sochna
Na ab kabhi hai khojna
Din guzar gaya yun roz-marra kaam main
Shaam dhal rahi thi jab
Mujhay jo qurbatain mili
Tu yak baik kaheen se phir
Khayaal uska aagaya
Main khud se pochnay lagi
Kya main usko bhool paongi.....???
Gazishta shub ka faysla
Pal ke Pal badal gaya
Muhabbaton ki kushbo'yen
Hisaar kheenchnay lageen
Ye jaanti thi ab bhi main
Ke wo mujhay satayega
Wo meri zid pe baar baar
Ab mujhay rulayega
Ke wa'da kar ke mujh se phir
Aaj bhi na aayega
Bula rahi thi aglay pal
Phir usay main apnay ghar........

0 comments: