Na Khushi Ab

apni hastee ka hota sabhi ko paas hai
apni apni nazar maen har koi khaas hai

voh khushi jiski yaas maen gum umr sari
gar sochho to vohi dil ke aaspaas hai

yun to sabhi apne apne safar ke musafir
par ek hamsafar ki har kisi ko aas hai

tishnagi badhne lagi deedaare-yaar ki
bujhti nahi jo kabhi ye voh pyaas hai

ladkhadati zubaan shikwaye-jaure-adoo
hota nahi hamse zore-tarke-ikhlaas hai

hoga jahaan maen qayam aman kis tarah
aadmi ko hi nahi aata aadmi raas hai

husno-ishq se pare aaj fikro-nazar meri
pehlu maen tere dil phir bhi udaas hai

behis hui jati hai "fer" aalame-zindagi
na khushi ab koi na ghame-ehsaas hai

0 comments: