Khamoshi keh rahi hai kaan main kiya
Aa raha hai mere gumaan main kiya
ab mujhe koii Toktaa bhi nahin
yahi hota hai khandaan main kiya
bolte kiyun nahin mere haq main
Aable paDr gaye zubaan main kiya
meri har baat be-asar hi rahi
nuqs hai kuch mere bayaan main kiya
who mile to ye puchna hai mujhe
abhi hun mai teri Aamaan main kiya
shaam hi se dukaan-e-diid hai band
nahin nuksaan tak dukaan main kiya
yun jo taktaa hai Aasmaan ko tu
koii rehta hai Aasmaan main kiya
ye mujhe chain kyun nahin paDrta
ek hi shaKhs tha jahaan main kiya
0 comments:
Post a Comment