Showing posts with label Aitbar Sajid. Show all posts
Showing posts with label Aitbar Sajid. Show all posts

Chahton Ke Besamur

Kya Karain

Maherban Nahi Rahay


Main Kise Suna Raha Hon !

Wo Nahi Rahay


Koi Kaisa Humsafer Hai


Kuch Nahi Kahti

Tumhain Jub Milain Fursatain

Aitbar Hai !

Main ne kaha k mujh se tumhain kitna pyar hia
Main ne kaha sitaron ka koi shumar nahi
Us ne kaha k kon tumhain hai buhat azeez
Main ne kaha k dil pay jisay ikhtiar hai
Us ne kaha k kon sa tuhfa hai munpasand
Main ne kaha k wo shaam ju ab tuk udhar hai
Us ne kaha k khizahn mulaqat ka jawaz
Mian ne kaha k qurb ka mutlub bahar hai
Us ne kaha sanikaroon ghum zindagi may hain
Main ne kaha ghum nahi jub ghumgusar hai
Us ne kaha k sath kahan tuk nibhao gay
Main ne kaha jitni yeh sansoon ki taar hai
Us ne kaha k mujh ko yaqeen aye kis terhan
Main ne kaha k maira naam AITBAR hia!!!!!!

Kuch Roz Bohat Dil Tarpey Ga


Kuch Roz Bohat Dil Tarpey Ga
Kuch Roz Rahein Gi Nam Aankhein
Kuch Roz rahey Gi Bechaini
Kuch Roz Yeh Seena Sulgey Ga
Pani Mein Safeena Sulgey Ga
Rafta Rafta .........
Dheerey Dheerey .......
Phir Haalat Hij'r Gazeeda ki
Ik Roz Sanbhal hi Jaye gi
Ik Zakh'm Bharey ga Chahat ka
Ik Dard Thamey Ga Shiddat ka
Ik Diya Bujhey Ga Qurbat ka


Lakin Kya Aisa Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho
Kya Yeh Namumkin, Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho !

Mujh Sey Bichar Gaye


Jo khayal they na qayas they wohi log mujh sey bichar gaye
jo mohabbaton ki asaas they wohi log mujh sey bichar gaye

Jinhain maanta hi nahi ye dil wohi log merey hain hamsafar
mujhey har terha sey jo raas they wohi log mujh sey bichar gaye

Mujhey lamha bhar ki rifaqaton key saraab bohat satayen gey
meri umr bher ki jo pyaas they wohi log mujh sey bichar gaye

Ye jaal sarey hain aarzi ye gulaab sarey hain kaghzi
gul-e-arzoo ki jo baas they wohi log mujh sey bichar gaye

Jinhain ker saka na kabool mai wohi shareek-e-raah safer huey
jo meri talab meri aass they wohi log mujh sey bichar gaye

Meri dharkanon key kareeb they meri chah they mera khuaab they
wo jo roz-o-shab merey pass they wohi log mujh sey bichar gaye

Tarey Jaisa


Tere jaisa mera bhi haal tha na sukoon tha na qaraar tha
Yehi umr thee mere hamnasheen ke kisi se mujh ko bhi pyar tha

Mai samajh raha hoon teri kasak, tera mera dard hai mushtarak
Isi gham ka tu bhi aseer hai isi gham ka mai bhi shikaar tha

Faqat aik dhun thee ke raat din usi khaabzaar mai gum rahen
Wo saraapa aisa suroor tha wo khumar aisa khumar tha

Kabhi lamhe bhar ki bhi guftgoo meri us ke saath na ho saki
Mujhe fursaten nahee mil sakin wo hawa ke rath pe sawar tha

Hum ajeeb tarz ke log thay ke hamare aur bhi rog thay
Mai khizan mai uska tha muntazar use intizar-e-bahaar tha

Use padh ke tum na samjh sake ke meri kitaab ke roop mai
Koi qarz tha kai saal ka kai ratjagon ka udhar tha...

Khuda Jaane


Khuda jaane tumhaare zehen mai kia hai
Mere baare mai tum kia sochti ho keh nahee sakta
Magar mai is liye milney se katraata hun tum se
Ke wo baten jo hum likhte hain aapne khat mai chahat se
Wo baaten aur baaten hain
Wo baten aisi baten hain ke bas baaten hi baten hain
Haqeeqat mukhtalif hai aisi baaton se
Haqeeqat munkashif hoti nahee alfaz likhne se
Zubani guftugoo se bahami izhar-o-arz-e-hal kerne se
Bahut si aisi baaten hain
Jinhen sunne ko kaano ki nahee aankhon ki haajat hai
Agar tum mujh se milne per bahut israar kerti ho
To phir aik shart hai
Aik lafz bhi kehna na hoton se
Faqat aankhon se aankhen guftgoo kerti rahen
Khala apne sawaalon ka
in aankhon ki sadayen khud bakhud bharti rahengi
Agar milna zaroori hai
To chhoti si meri yeh shart apne zehen mai rakhna!!!

Kis Liye Kare


Tujh se bechar k aankh ko num kis liye kare
Tujh ko melaal nahi tu hum kis liye kare
Duniya ki be rukhi tu nahi hai koi jawaaz
Es sheddat-e-khaloos ko kam kis liye kare
Taa umer kurbton ka tu emkaan he na tha
Aakhier faraq-e-yaar ka ghum kis liye kare
Apna janoon oy daad-o-sataysh se beneyaz
Pher be khudi ka haal raqum kis liye kar
Jin k liye ufaq pe chamkte hain raastein
Matti pe sabt naqsh-e-kadam kis liye kare
Manoos ho chuke hain anderoon sy apne log
Ab ehtejaj subh karam kis liye kare
Sajad koi nayi tu nahi hai yeh terghi
Aakhier melaal-e-shaam alam , kis liye kare !!

Maira Ehsas Mut Cheeno

Wo jazbey cheen lu mujh sey
Ju maire ung, mairi rooh , maire dil may baste hain
Jinhain khud may samooney k liye seenay tarastey hain


Wo lamhey cheen lu mujh se
Ju maire zahen ki tarikion may shama roshan hain
mairi khalwout ki khushbu hai,mairi yaddon k gulshan hain


Wo chehray cheen lu mujh se
Ju khad-o-khal nahin ab aeiney main mairi seerat ke
Ju yeh pahlu se aks zofishan hain mairi sooret ke


Wo rishtey cheen lu mujh se
Ju mairey zahen-o-dil may roshni k beij bootay hain
Ju rug rug may lahou ki chaap sey mansoub hotey hain


Wo ankhain cheen lu mujh se
Ju mairi rouha ko nouha hain, mairi zaat ka lahja hai
Jahan dhalta hia,aeinon may ehsasat ka lahja


Wo sapney cheen lu mujh se
Ju in veeran ankhon may abhi taluk jagmagatay hain
Abhi tuk sans laite hain,abhi tuk muskurate hain


Yeh sub kuch cheen lu mujh se
Mager Ey Zalimo ! Mujh se maira ehsas mut cheeno
Tulb ki anhain mut cheeno
Ju maire zabt ki pahchan hai,Wo pyas mut cheeno


Maira Ehsas Mut Cheeno.....