jo chala gaya mujhe chor kar
main kabhi na us ko bhula saka
wohi doorian, wohi faasle
main kabhi na in ko mita saka
kya usey b mujh se pyar tha
ya tabassum us ka shuar tha
wo koi ajeeb sawaal tha
jo meri samajh mein na aa saka
meri zindagi ka sukoon tha
wo mere dil ka ik junoon tha
wo meri bandagi mera pyar tha
yehi baat na main us ko bata saka
yehi sochta tha main raat bhar
jo kabhi miley ga wo raah per
to karun ga us se shikayatein
wo mila to lab bhi na hila saka
jo chala gaya mujhe chor kar
main kabhi na usko bhula saka.....
main kabhi na us ko bhula saka
wohi doorian, wohi faasle
main kabhi na in ko mita saka
kya usey b mujh se pyar tha
ya tabassum us ka shuar tha
wo koi ajeeb sawaal tha
jo meri samajh mein na aa saka
meri zindagi ka sukoon tha
wo mere dil ka ik junoon tha
wo meri bandagi mera pyar tha
yehi baat na main us ko bata saka
yehi sochta tha main raat bhar
jo kabhi miley ga wo raah per
to karun ga us se shikayatein
wo mila to lab bhi na hila saka
jo chala gaya mujhe chor kar
main kabhi na usko bhula saka.....

0 comments:
Post a Comment