Lagtaa Nahi Hai...

Lagtaa nahi hai dil mera ujre dayaar mein
Kiss ki bani hai aalame-naapaaidaar mein,

Umr-e-daraaz maang ke laaye the chaar din
Do aarzuu mein kat gaye do intezaar mein,

Kah do in hasraton se kaheen aur jaa baein
Itni jagah kahaan hai dil-e-daaghdaar mein,

Kitna hai badnaseeb zafar dafan ke liye
do gaz zameen bhi na mili kue-yaar mein…

0 comments: