Muhabbat Ka Gumaan...

Muhabbat ka gumaan hona bahut hai
Ke ab ye lafz bhi ruswa bahut hai,

Teri ghum ki fasoo kari se pehlay
Main samjha tha ghum-e-dunya bahut hai,

Ye aankhain aur kya dekhain kisi ko
in aankhon ne tujh ko dekha bahut hai,

Na jaanay kyon bacha rakhay hai aanso
Abhi mujhay shayad rona bahut hai,

Bahut aabaad hai ye shaher phir bhi
teray shaher main waqas tanha bahut hai....

0 comments: