Na Kisi Ki Aankh Ka...

Na kisi ki aankh ka noor hoon, na kisi ke dil ka qaraar hoon
Jo kisi ke kaam na aa sake, main wo ek musht-e-ghubaar hoon,

Main nahin hoon naghma-e-jaan fiza, koi sun ke mujh ko karega kya
Main bare birog ki hoon sada, main bare dukhon ki pukaar hoon,

Mera rang roop bigar gaya, mera yaar mujh se bichar gaya
Jo chaman khizaan se ujar gaya, main usi ki fasl-e-bahaar hoon,

Na to main kisi ka habeeb hoon, Na to main kisi ka raqeeb hoon
Jo bigar gaya wo naseeb hoon, jo ujar gayaa wo dayaar hoon,

Pae faatihaa koi aye kyon?, koi chaar phool charhaye kyon?
Koi aake shamaa jalaye kyon, main wo bekasi ka mazaar hoon…

0 comments: