Qatal Kar Ke Sar-e-Aam Ye Anjaan Bantay Hain,
Husn Ki Adaa Ye Dikha Ke Nadaan Bantay Hain,
Wafaon Ki Baatain Jo Hamesha Karte Hain,
Wahi Dil Tod Ke Mehfil Main Muskurate Hain,
Apne Dil Ko Jo Sheeshay Ka Kehtay Hain,
Patthar Maarne Wale Bhi Wahi Hotay Hain,
Bewafa Ka Naam Jo Humain De Jaatay Hain,
Pehle Kyon Gerebaan Main Apne Dekhtay Nahi Hain,
Khamosh Un Ki Dunia Kabhi Hoti Nahi Hai,
Phoolon Se Gulistan Wo Apna Sajatay Hain,
Khel Un Ka Samaj Nahi Aata Hai,
Phoolon Ka Tohfa Deker,
Kaanto Ka Taaj Pehnana Chahte Hain....

0 comments:
Post a Comment