Ulfat Ke Taqazay...

Tum se ulfat ke taqazay na nibhaye jatay
Warna humko bhi tamanna thi ke chahay jatay,

Hum nigaahi ke humain khud bhi kahan thi tofeeq
Kam nigaahi ke liye uzr na chahay jatay,

Kaash ae abr-e-bahaar teray bhaknay se qadam
Meray ummeed ke sahra main bhi gaahay jatay,

Lazzat-e-dard se aasooda kahan dil walay
Hain faqat dard ki hasrat main karahay jatay,

Di namuhlat humain hasti ne wafa ki warna
Aur kuch din hasti se nibhaye jatay....

0 comments: