Wo Bhi Kya Log Thay...

Wo bhi kya log thay aasaan thi raahain jinki
Band aankhain kiye ik simt chale jaate thay
Aql-o-dil Khuwaab-o-haqiiqat ki na uljhan na Khalish
Mukhtalif jalway nigaahon ko na bahlaate thay

Ishq sada bhi tha bekhud bhi junoon-o-peshaa bhi
Husn ko apani adaaon pe hijaab aata tha
Phool khilte thay to phoolon mein nasha hota tha
Raat Dhalti thi to sheeshon pe shabaab aata tha

Chaandni kaif_asar rooh_afzaa hoti thi
Abr aata tha to bad_mast bhi ho jaate thay
Din mein shorish bhi hua karti thi hangamat bhi
Raat ki god mein munh Dhaanp ke so jaate thay

Narm rau Waqt ke dhaare pe safeene thay rawaan
Sahil-o-bahr ke aa'een na badalate thay kabhi
Naakhudaaon pe bharosaa tha muqaddar pe yaqeen
Chaadar-e-aab se toofaan na ubalte thay kabhi

Ham ke toofaanon ke paale bhi sataaye bhi hain
Barq-o-baaraan mein wo hi shamein jalaayen kaise
Ye jo aatish kada duniyaa mein bharak utthaa hai
Aansuon se usay har baar bujhaayen kaise

Kar diya barq-o-bukhaaraat ne mahshar barpaa
Apne daftar mein litaafat ke siwaa kuch bhi nahin
Ghir gaye waqt ki beraham kashaakash mein magar
Paas tahazeeb ki daulat ke siwaa kuch bhi nahin

Ye andheraa ye talaatum ye hawaaon ka Kharosh
Is mein taaron ki subuk narm ziyaa kya karti
Talkhi-e-zeest se ka davaa howa aashiq ka mizaaj
Nigaah-e-yaar ki masoom adaa kya karti

Safar aasaan tha to manzil bhi bari roshan thi
Aaj kis darjaa pur-asraar hain raahein apni
Kitani parchaaiyaan aati hain tajalli ban kar
Kitane jalwon se ulajhti hain nigaahen apni

By: Aalay Ahmad Suroor

0 comments: